Showing posts with label urdu shero shayri. Show all posts
Showing posts with label urdu shero shayri. Show all posts

Sunday, December 06, 2015

Hum To Harof-E-Tahji

Hum to haro-e-tahji bhi nahin par saktey 
Aur wo akhein hain ryazi k sawalon jesi 

Monday, November 30, 2015

To Mere Dil Pe Hath To Rakh

To mere dil pe hath to rakh 
Main tere hath pe dil na rakh doon to kehna 

Saqi

Etna hanso keh ankh se anso nikal parein 
Apni khushi kay sath mera gham nba do 

Neyat Kharab Hai

Hota nahin ayaan kabhi unkay mezaj se 
Neyat kharab hai kay tabeyaat kharab hai 

Aur Tum Kehti Ho

Mujh se bar ke kis ne jana hai tumhein 
Aur tum kehti ho na mahram hun main

Zindagi Ek Bar Milti Hai

Zindagi ek bar milti hai sara sr ghalt taswar hai 
Zindagi to hur roz melti ha dar asal mout sirf ek bar melti ha

Tum Haqeeqat Ho

Tum haqeeqat ho ya fareeb meri ankhon ka 
Na dil se nikltay ho na zindagi main aty ho 

Bewafa

Tum se hi thi meri zindagi lakin ye kiya howa 
Tum bin bhi main ji rahi hun main kesi hun be wafa

Meri Talb Tha Ek Shakhs

Meri talb tha ek shakhs jo wo nahin mila to phir 
Dua hath youn ghiray kay bhol gya sowal bhi 

Rah Main Beth Howa Hun

Rah main betha howa hun tum sangh rah sumjho mujhy 
Admi ban jaon ga kuch thokrein khanay k bad

Sunday, November 29, 2015

Atbar Ki Adat

Phir us ki hur ada se chalknay laga khalos
Jab mujh ko atbar ki adat nahin rahi 

Mujhe Zindagi Ki Dua Na Day

Mujhay zindagi ki dua na day 
Meri zindagi se bani nahin 

Koi zindagi pay karay yaqeen 
Mujhay zindagi pay yaqeen nahin 

Ab Kis Ka Etbar Karon

Ab kis ka atbar karon is dunya main 
Anso hi apni ankh ka jab apna na howa

Jab So Jati Hai Sari Dunya

Jab so jati hai sari dunya
Chupkay se aa kar chand 

Khara ho jata hai 
Meri khari kay samne

Aur muskura kar kehta hai 
Khoj lo mujhi  main wo chehra 
Jis ki talash main ho tum 

Saturday, November 28, 2015

Mohsan

Ulja rahi hai mujh ko younhi kashmkash musalsal mohsan 
Wo absaa hai mujh main ya main us main kho gya hun 

Apne honton Pay Sajana CHahta Hun

Apne hontoon pay sajana chahta hun 
Aa tujhy main gunghunana chahta hun 

Koi anso tere daman par ghira kay 
Bond ko moti bnana chahta hun 

Thak gya main yad kartay kartay tujh ko 
Ab tujhay main yad ana chahta hun 

Akhri hichki tere zano pay aye 
Mot bhi main shayarana chahta hun 

Chaa raha hai sari basti main andhera 
Roshni ko ghar jalana chahta hun 

Chalo Ek Bar Phr Se Ajnabi Ban Jayein

Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 
Na main tum se koi umeed rakhon dilnowazi ki 

Na tum meri tarf dekho ghalt andaz nazron se 
Na mere dil ki darkan larkhraye meri baton main 

Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazroon se 
Tumhein bhi koi uljan rokti hai pesh qadmi se 

Mujhy bhi log kehtay hain k ye jalway puraye hain 
Mere humrah bhi roswayan hain mere mazi ki 

Tumharay sath bhi ghuzri hoi ratoon ki saye hain 
Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 

Ankhon Se Parhi Jati Hai

Ankhon se parhi jati hai haya ki kahani 
Naqab dal kar koi parsa nahin howa

Tumhari Berukhi

Tumhari berukhi par bhi ulta di zindagi hum nay 
Agr tum meharbaan hotay to apna haal kiya hota 

Sochta Hun Ab


Sochta hun ab khud par hi laga doun alzam
Dil manta hi nahin tum bewafa thay