Showing posts with label december poetry. Show all posts
Showing posts with label december poetry. Show all posts

Thursday, December 03, 2015

Guzrta Howa Saal

Guzrta howa saal jese bhi guzra 
Magr saal ke akhri din bohat kathan hain 

Naye saal ki muskurati hoi subah yeh 
Bajta howa dil darkta to hai muskurata nahin
December mujhe raar ata nahin 

Saturday, November 28, 2015

Chalo Ek Bar Phr Se Ajnabi Ban Jayein

Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 
Na main tum se koi umeed rakhon dilnowazi ki 

Na tum meri tarf dekho ghalt andaz nazron se 
Na mere dil ki darkan larkhraye meri baton main 

Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazroon se 
Tumhein bhi koi uljan rokti hai pesh qadmi se 

Mujhy bhi log kehtay hain k ye jalway puraye hain 
Mere humrah bhi roswayan hain mere mazi ki 

Tumharay sath bhi ghuzri hoi ratoon ki saye hain 
Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 

Kanch Ka Jism

Kanch ka jism liye shehar main phernay walay 
Dashte halaat main pathar nahin dekha to nay 

Ay mujhay sabar kay adab sekhanay waly 
Jab wo bechra tha wo manzar nahin dekha to nay

Friday, November 27, 2015

Wo Ek Shakhs

Humein ahbab ki lambi qitaron se nahin matlb 
Jo dil se humara ho humein wo ek shakhs kafi hai 

Tuesday, November 24, 2015

badan Se Rooh

Badan se rooh jati hai to bechti hai saf-e-matam
Magar kardar mar jaye to yaqeen matam nahin hota 

Monday, November 23, 2015

Jab Main Doba

Jab main doba to sumandar ko kabhi herat hoi 
Ajeeb shakhs hai kesi ko pukarata hi nahin 

Dil K Anghan

Waqt mile to kabhi rakhna qadam mere dil k anghan main 
Heran ho jaogay mere dil main apna muqam dekh kar 

Mirza Ghalib

Aghaz ishq bhi khob tha ghalib kiya kahon 
Pehle to thi dil lagi phr dil ko ja lagi 

Jisam chony Se

Jism chony se mohabbat nahin hoti 
Ye wo jazbah hai jesy emaan kehtay hain 

Ishq La Elaj

Nahi hota kesi tabeeb se is marz ka elaj
Ishq la elaj hai bas ehteyat kijiye 

Sunday, November 22, 2015

Meri Mohabbat

Mujhy tanha keh k meri mohabbat ki tuheen mat karo 
Wo hur pal sath rehta hai seny main yad ban k 

Noreen Shah

Halt meri mujh se na maalom kijye
Mudat hoi hai mujh se mera wasta nahin 

Saturday, November 21, 2015

Etnay Bhi Nadan Nahin Hum

Etnay bhi nadan nahin hum , hum ko parhna ata hai 
Kon sa lehja dil ki dunya kon sa dunya dari hai 

Malik

Kya dekh rahi ho 
Tasali rakho tumhara hun

Ek Bar Keh Do

Ek bar keh do k tum mere ho 
Is se agy naseeb mera 

Lehja Bhi Sard Kar Dala

Tum ne lehja bhi sard kar dala 
Ye sardeon k azab kam the kiya 

Main Jo Chalta Hun

Main jo chalta hun terey ishq k ingharon par 
Paon jaltay hain magr dil ko qarar ata hai 

Rab-e-Qareem

Meri toti photi abadton ko esy kr qabol Rab e qareem 
K sajday main jukon to mujh se jary hur reshty ki zindagi sanwar jaye