Showing posts with label bewafa shayri. Show all posts
Showing posts with label bewafa shayri. Show all posts

Sunday, November 29, 2015

Kon Kehta Hai

Kon kehta hai insan apni qismat khud lekhta hai 
Agr ye sach hai to qismat main dard kon lekhta hai 

Saturday, November 28, 2015

Apne honton Pay Sajana CHahta Hun

Apne hontoon pay sajana chahta hun 
Aa tujhy main gunghunana chahta hun 

Koi anso tere daman par ghira kay 
Bond ko moti bnana chahta hun 

Thak gya main yad kartay kartay tujh ko 
Ab tujhay main yad ana chahta hun 

Akhri hichki tere zano pay aye 
Mot bhi main shayarana chahta hun 

Chaa raha hai sari basti main andhera 
Roshni ko ghar jalana chahta hun 

Kanch Ka Jism

Kanch ka jism liye shehar main phernay walay 
Dashte halaat main pathar nahin dekha to nay 

Ay mujhay sabar kay adab sekhanay waly 
Jab wo bechra tha wo manzar nahin dekha to nay

Band Ankhein Then

Band akhein thein kesi ki yad main 
Mout ai aur dokha kha gayi 

Mirza Ghalib

Mohabbat main nahin hai farq jenay aur marnay ka 
Usi ko dekh kar jetay hain jis ka farq dam niklay

Friday, November 27, 2015

Apne Halaat

Apne halaat ka khud ehsaas nahi hai mujhy
Main ne logoon se hi suna hai k pareshan hun main 

Ab Meri Taq Main Rehtay Hain

Ab meri taq main rehtay hain Qoh faq k jin
Main parestan ki malika utha laya hun 

Had

Etni jaldi kiya hai mujhy chornay ki 
Abhi to had baqi hai mujhy tornay ki 

Zarurat

Lay gya noch kar mujhay sahib
Jis ko jetni meri zarurat thi 

Uski Ankhein

Uski akhein sowal karti hain
Meri himat jawab deti hai 

Thursday, November 26, 2015

Mohabbat

Ek aurat se mohabbat har koi karta hai 
Mohabbat ke sath sath izzat koi koi karta hai 

Saturday, November 21, 2015

Ghareeb Log

Jan dy sakty hain yehi humary bas main hai 
Ghareeb log hain nahin karty baat sitary tor lany ki