Showing posts with label Dhoka Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dhoka Shayari. Show all posts

Friday, July 12, 2013

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dety
Har Ik Ny Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dety

Yeh Hamara Zarf Tha K Khamosh Rahy Warna
Dastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dety

Sunday, September 09, 2012

Aur Tum Waqt Se Bhi Tez Nikle

Waqt Taizi se badal gaya
Aur tum waqt se bhi tez nikle

Bewafa Dhoka Kha Gaya

Mein bewafa tha is liye dhoka kha gaya
Shayad use talaash kisi bewafa ki thi

Hum Se Mohabbat Kab Thi

Dil lagi thi usey hum se mohabbat kab thi
Mehfil-e-Gair se un ko fursat kab thi

Hum thay mohabbat main lot jane k qabil
Us k wadoon main wo haqiqat kab thi

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare

Tujhe ishq ho khuda kare
koi tujh ko usse juda kare
Tere lub hansna bhool jaen
Or teri ankh purnam raha kare
Usse dekh ke tu ruk pare
Or woh nazar jhuka ke chala kare
Tujhe hijr ki woh jhari lage
Tu millan ki har pal dua kare
Tere khuwab bikhrain toot kar
Use kirchi kirchi chuna kare
Tu nagar nagar phira kare
Tu ghalli ghalli sada kare
Tujhe ishq ho phir yaqeen ho
Use tasbeehon pe parha kare
Main kahoon ke ishq dhong hai
Or tu nahin nahin kaha kare

Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai

Lamha lamha saansein khatam ho rahi hain
Zindagi maut ke pehloo mein so rahi hai

Us bewafa se na poocho meri maut ki wajah
Woh to zamaane ko dikhaane ke liye roh rahi hai

Beetay Huwey Dinon Ko Bhulaya Nahi Jata

Beetay huwe dinon ko bhulaya nahi jata
Jo roo rahay hon unko rulaya nahi jata
Hasnay walon ko rulana aasan hai
Lekin ronay walon ko kabhi hasaya nahi jata
Apno or geroon ko bhulana asaan hai lakin
Dil todnay walay ko bhulaya nahi jata
Umeed ban ke log zindagi main atey hain
Khawab ben ke ankhon main sama jate hain

Raqeebon Se Nibhai Tum Ne

Ye nahi gam ke qasam apni bhulai tum ne
Gam te ye hai ke raqeebon se nibhai tum ne

Koi ranjish thi ager tum ko to mujh se kehte
Baat apas ki kiun sab ko batai tum ne

Pyaar Na Kare

Samjha lo apne dil ko pyaar na kare
Meri fitrat hai bewafai izhar na kare

Humse paoge dhoka tum yaad rakhna
Pehle he kahte hai koi humara aetbaar na kare

Ye DIl Kuch Aur Samjha Tha

Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha
Usy hansany ki adat thi ye dil kuch aur samjha tha

Kaha osny nai duniya basaty hain
Osay sajhi sharart thi ye dil kujh aur samjha tha

Osne Mohabbat Sikha Di Aur

Hum ne to wada kia tha wada nibhany k liye

Dil dia tha ik dil pany k liye

Unhon ne mohabbat sikha di aur kaha

Humne to mohabbat ki thi tumhen azmany k liye

Hai Apni Talash Mujhy

Kaha tha na main nazuk hun na tarash mujhy

Janun ne kar dia pash pash mujhy

Mujhy khabar karna jo mera nishan pao

Bohat dinon se hai apni talash mujhy

Kahin Shikwy Mily Kahin Thokren Milin

Waqt aisa rawani main dhalta raha

Main be khabar aisy hi chalta raha

Kabhi hansta tha apny naseebon pe main

Kabhi ander hi ander jalta raha

Kahin shikwy mily kahin thokren milin

choot aisi lagi k sanbhalta raha

Us ko pany ki khatiye to sab kuch kia

Wo sang dil tha rasta badalta raha

Mitti K Ghar

Q Bnaty ho mitti k ghar jinhen kal khud hi mittao ge
Aj kehty ho hum se pyar hai tumhein
Kal humara naam tak bhool jao ge

Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi

Kyun rakhun main apny kalam main siyahi
Jab koi araan dil main machalta hi nahi
Na jany kyun shak kertay hain muj par
Jab sukha gulaab meri kitabun main milta hi nahi
Kashish tu bohat thi meray piyaar main
Magar kiya keru koi pathar dil piglta hi nahi
Ager khuda milay tu us se apna piyangun ga
Par suna hay wo marney se pehlay kisi se milta hi nahi

Yuun Na Mil Mujh Se Khafaa Ho Jaise

Youn na mil mujh se khafaa ho jaise
Sath chal mauj-e-sabaa ho jaise
Log youn dekh kar hansi dete hain
Tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk ki hadh tak na badhaa
Youn na mil hamse khudaa ho jaisee
Maut bhi aai to is naaz ke sath
Mujh pe ehsaan kiya ho jaise
Aisa anjaan bane baithe ho
Tum ko kuch bhi na pata ho jaise
Hichkiyaan raat ko aati hi rahin
Tuo ne phir yaad kiyaa ho jaise
Zindaagi beet rahi hai Zahid
Ek bejurm sazaa ho jaise

Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Aap Se Hai

Mat tor wih taluk jo teri zaat se hai,
Tu khafa meri kis baat se hai,

Tu bhi na uljha kar mujhse is tarah,
Jo tu achi tarah wakif mre jazbat se hai

Main kaise ji lon tumse rooth kar
Meri har saans wabasta teri yaad se hai

Mera taluk jura hai kuch is tarah tumse,
Jaise insan ka rishta khud apney ap se hai

Charagh Hun Kab Say Jal Raha Hun

Charagh hun kab say jal raha hun,mujhe duaon mein yar rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun,mujhy duaon mein yad rakhiye

Jo baat ap keh na paye,meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf-e-mud'a hun mujhy duaon main yad rakhiye

Bohat hai shaistagi say her lamba doobti ek sada ki surat
main khilwat-e-jan mein bujh raha hun,mujhy duaon main yad rakhiye

Bala say ye rah-e-shauq meri na ho saki per tumhari khatir
misal-e-naqsh-e-qadam bicha hun,mujhe duaon main yad rakhiye

Teri Qismat Baharon K Qabil Nahi

Mujh say baad-d-bahara's nay ro ker kaha,
Teri qismat baharo'n k qabil nahi

Teri duniya hay ashkon may dobi hoi
Teri aankhen nazaaro'n k qabil nahi

Meri kashti ko toofa'n ne bosy diay,
Boli moj-e-talatum mujy dekh kar

Teri taqdeer may hain bhanwar hi bhanwar,
Teri kashti kinaro k qabil nahi,

Usney mehfil se mujko utha ker kaha,
Meyra peecha Khuda k liye chor do,

Meri mehfil mein phir na aana kabhi,
Ye muhabbat k maaron k qabil nahi

Mat Lout K Ana Main Sambhal Jaaon ga

Tere shaher teri soch se nikal jaaon ga
Kisi udaas sham main dhal jaaon ga

Tu ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena eik din main bhi badal jaon ga

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
jab k tu janta hay main pighal jaaon ga

Chahe lakh terpoon tere intzaar main
mat lout k ana main sambhal jaaon ga

Tera hona itna zaroori nahin hay
main tou yaadon k khilonon se behal jaaon ga