Sunday, September 09, 2012

Charagh Hun Kab Say Jal Raha Hun

Charagh hun kab say jal raha hun,mujhe duaon mein yar rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun,mujhy duaon mein yad rakhiye

Jo baat ap keh na paye,meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf-e-mud'a hun mujhy duaon main yad rakhiye

Bohat hai shaistagi say her lamba doobti ek sada ki surat
main khilwat-e-jan mein bujh raha hun,mujhy duaon main yad rakhiye

Bala say ye rah-e-shauq meri na ho saki per tumhari khatir
misal-e-naqsh-e-qadam bicha hun,mujhe duaon main yad rakhiye