Dillaagi blog only for poetry special two line poetry . we provide standard poetry for all our visitors like allama iqbal poetry, mirza ghalib poetry,two line urdu poetry, urdu poetry books free download, urdu poetry in english, best urdu poetry collection, urdu poetry, 2 line urdu poetry, romantic shayari, funny sms jokes, sad shayari, latest urdu poetry, dard bhari shayari, free mobile sms, urdu poetry books,sms poetry,sms,poetry
Showing posts with label Dua Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dua Shayari. Show all posts
Thursday, December 10, 2015
Friday, November 20, 2015
Thursday, November 19, 2015
Tuesday, November 17, 2015
Tere Liye Ek Dua Karon
Tere liye ek dua karon main Rab se ek Elteja karon
To khush rahe to shad rahe tere dil ka anghan abad rahy
Tu hur pal youn hi hansa kary tu pholo ki mand khila kary
Teri zindagi main koi gham na ho teri ankh kabi nam na ho
Tujhy kesi se koi ghila na ho tujhy dukh koi mila na ho
Teri rad koi dua na ho tere lab py koi sada na ho
Tujhy bin mangy wo ata kary teri maf hur ek khata kary
Ameen
Wednesday, June 25, 2014
Mujhe Hukam Howa Kuch Ur Mang
Mujhe hukam howa kuch ur mang us k sawa
Main dastey dua se uth gya k mujhy sirf justujo uski hai
Tuesday, August 27, 2013
Meri Mohabbat ki Haqeqat Ko Tum Kiya Jano
Meri mohabbat ki haqeqat ko tum kiya jano
Sir jukaya to tujhey manga hath uthaya to tujhey manga
Friday, June 21, 2013
Saturday, September 15, 2012
Youn To Dunia Roz Kia Kertay Hain
Youn to dunia roz kia kertay hain
Bas kisi terha mil jae dua roz kia kertay hain
Khayal to ata hai ager na milay to kia hoga
Ess liye tujhay dil main basae rakhtay hain
Tumhari yado ko hamesha hum sajae rakhtay hain
Dil key hal ko logo say chupae rakhtay hain
Hum say ager koi pochay ga tumhara
Tu hum keh daingay ankho mai sajaee rakhtay hain
Eik baat sochi hai samjhi tum ko batatay hain
Ager tum nazar na ho to tum ko batatay hain
Khuda na karay kay kabhi biecharna pare
To bas jan layna ye muqaddar key faislay hain
Mager kuch bhi ho ye hum ko yaad rakhna hain
Hal par har ghari eik dosray ko yad rakhna hain
Yaad to aiege dukh to hoga tere na hone ka
Mager ye sumjh layna ahsan us key liye jety hain
Dua Nahi To Gila Deta Koi
Dua nahi to gila deta koi
Meri wafaon ka sila deta koi
Jab mukadar hi nahi tha apna
Deta bhi to bahla kya deta koi
Hasil-e-ishq faqat dard hai
Aye kash pehle hi bata deta koi
Taqdeer nahi thi agar aasmaan chuna
Khaq me hi mila deta koi
Bewafa bhi humein bewafa keh gaya
Is se zyada kya daga deta koi
Guman hi ho jata kisi apne ka
Daman hi pakar kar hila deta koi
Arse se atka hai hinchkiyoun pe dun
Acha hota ke bhula deta koi
Dua Krty Hein Hum Sar Ko Jhukay
Dua karty hein hum sar ko jhukay,
Aay dost aap apni manzil ko payen,
Jab b aap ki rahoon mein andhera aay
To roshni k liye Khuda hum ko jalay
Har Dua Mein Tera Hi Naam Aaya
Har dua mein tera hi naam aaya,
Tere jaane ke baad ye khayal aaya,
Kab kahan maine apne liye kuch maanga Khuda se
Tabhi to teri khusi ke liye? apne pyar ko bhula aaya
Dua Mangi Hai
Mere dil ne jab bhi dua mangi hai
Tujhe mangi hai teri wafa mangi hai
Jis mohabbat ko dekh k dunia ko rashk aye
Tere pyar karne ki wo adda mangi hai
Dua Mile Bando Se
Dua mile bando se khushiyan mile jag se
Sath mile apno se rehmat mile rab se
Zindagi me ap ko be panah pyar mile
Kush rahe duniya mein ziyada sub se
Mera Lafz Lafz Dua Dua
Mera lafz lafz dua dua
Mere aansuon se dhula hua
Tujhay zindagi ke wo sehar miley
Tujhay muhabbaton ka safa miley
Tujhay dard-o-gam na kabhi choo sakay
Teri ankh kabhi na nam ho sakay
Tere pyar his pe nisar ho wo hamesha tere pas ho
Tum pe khushiyon ki barsat ho
Aur taweel teri hayat ho
Ye dua hai koi gila nahe
Tujhay zindagi main wo sakoon milay
Jo kisi ko kabhi mila nahe
Akela Pan Na Mila
Dosti ki raho main kabhi akela pan na mila
Aay dost zindagi mai tumhe kabhi gum na mile
Dua karte hai hum Khuda se
Tuhme jo bhi dost mile hum se kam na mile
Aye Dost Tu Itna Badkalam Na Ho
Aye dost tu itna badkalam na ho
Ki kabhi karib se gujrae to dua-salam na ho
Dil mai haazaar gila shikva ho magar yeh nahi mumkin
Tum aao mere ghar mein aur ahitram na ho
Haazaar dusmani ho tumse, magar khuda kare
Dil mein kabhi ahsaas-e-intekam na ho
Wo Maut Bhi Bari Suhani Hogi
Wo maut bhi bari suhani hogi
Jo aap ki piyaar may aani hogi
Ye dua hai khuda say k pehlay hum jaaein
Kyon ke welcome ki rasam bhi to nibhani hogi
Rizq Ny Rashta Bhula Diya
Bhujty hue diye ki dua kaam kar gae
Ik shaab ki gode kitny sitarun sy bhar gae
Maa ko talashe rizq ny rasta bhula diya
Bachi thithar k raat k saae main mar gae
Khud baar-r-khastagi sy gire chaat makaan ki
Tuhmaat magar bhataktti hawaoon k saar gaye
Friday, September 14, 2012
Dua Kaam Kar Gae
Bhujty hue diye ki dua kaam kar gae
Ik shaab ki gode kitny sitarun sy bhar gae
Maa ko talashe rizq ny rasta bhula diya
Bachi thithar k raat k saae main maar gae
Khud baar-e-khastagi sy gira chat makaan ki
Tuhmaat magar bhataktti huwaoon k saar gaye
Mujhe Maut De K Hayat De
Mujhe maut de k hayat de
Mere be hunar marsat de
Meri pyaas sadyon ki pyas hai
Mere karbala ko faraat de
Mere ratjagon k hisaab main
Koi eik neend ki raat de
Subscribe to:
Posts (Atom)