Dillaagi blog only for poetry special two line poetry . we provide standard poetry for all our visitors like allama iqbal poetry, mirza ghalib poetry,two line urdu poetry, urdu poetry books free download, urdu poetry in english, best urdu poetry collection, urdu poetry, 2 line urdu poetry, romantic shayari, funny sms jokes, sad shayari, latest urdu poetry, dard bhari shayari, free mobile sms, urdu poetry books,sms poetry,sms,poetry
Showing posts with label dewangi shayri. Show all posts
Showing posts with label dewangi shayri. Show all posts
Sunday, November 29, 2015
Saturday, November 28, 2015
Apne honton Pay Sajana CHahta Hun
Apne hontoon pay sajana chahta hun
Aa tujhy main gunghunana chahta hun
Koi anso tere daman par ghira kay
Bond ko moti bnana chahta hun
Thak gya main yad kartay kartay tujh ko
Ab tujhay main yad ana chahta hun
Akhri hichki tere zano pay aye
Mot bhi main shayarana chahta hun
Chaa raha hai sari basti main andhera
Roshni ko ghar jalana chahta hun
Chalo Ek Bar Phr Se Ajnabi Ban Jayein
Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon
Na main tum se koi umeed rakhon dilnowazi ki
Na tum meri tarf dekho ghalt andaz nazron se
Na mere dil ki darkan larkhraye meri baton main
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazroon se
Tumhein bhi koi uljan rokti hai pesh qadmi se
Mujhy bhi log kehtay hain k ye jalway puraye hain
Mere humrah bhi roswayan hain mere mazi ki
Tumharay sath bhi ghuzri hoi ratoon ki saye hain
Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon
Friday, November 27, 2015
Apne Halaat
Apne halaat ka khud ehsaas nahi hai mujhy
Main ne logoon se hi suna hai k pareshan hun main
Ab Meri Taq Main Rehtay Hain
Ab meri taq main rehtay hain Qoh faq k jin
Main parestan ki malika utha laya hun
Thursday, November 26, 2015
Saturday, November 14, 2015
Badal Jate Hain
Waqt ki aandi main pathar bhi hil jate hain
Zindagi ki rahon main mausam bhi badal jate hain
Badalate nahi rishte kabhi iss jahan mein
Sirf nibhane wale insaan badal jate hain
Labels:
allama iqbal poetry,
badlna,
bewafa poetry,
dewangi shayri,
faraz,
insan,
rishte,
sad,
urdu ghazal,
wasi shah,
zindagi
Subscribe to:
Posts (Atom)