Saturday, November 28, 2015

Apne honton Pay Sajana CHahta Hun

Apne hontoon pay sajana chahta hun 
Aa tujhy main gunghunana chahta hun 

Koi anso tere daman par ghira kay 
Bond ko moti bnana chahta hun 

Thak gya main yad kartay kartay tujh ko 
Ab tujhay main yad ana chahta hun 

Akhri hichki tere zano pay aye 
Mot bhi main shayarana chahta hun 

Chaa raha hai sari basti main andhera 
Roshni ko ghar jalana chahta hun