Showing posts with label raat poetry. Show all posts
Showing posts with label raat poetry. Show all posts

Sunday, November 29, 2015

Jab So Jati Hai Sari Dunya

Jab so jati hai sari dunya
Chupkay se aa kar chand 

Khara ho jata hai 
Meri khari kay samne

Aur muskura kar kehta hai 
Khoj lo mujhi  main wo chehra 
Jis ki talash main ho tum 

Thursday, November 19, 2015

Gham

Sun kar tmam raat meri dastane gham 
Wo muskura k bholy boht bolty ho tum 

Thursday, August 29, 2013

To Hai Suraj Tujhe Malom Kiya Raat Ka Dukh

To hai suraj tujhe malom kiya rat ka dukh 
to mere ghar main utar kesi sham k bad 

Thursday, August 01, 2013

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din
Kya Roz Grajty Ho Baras Jao Kisi Din

Pairon Ki Tarha Husan ki Barish Mein Naha Lon
Badal Ki Tarha Jhoom K Gir Aao Kisi Din

Khusbo Ki Tarha Guzaro Mere Dil Ki Gali Se
Pholon Ki Tarhan Mujy Pay Bikhar Jao kisi Din

Guzray Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaye Sitary
Is Trahan Meri Raat Ko Chumkao Kisi Din

Main Apni Har Ek Saans Ussi Rat Ko Day Don
Sar Rakh k Mere Senay Pay Soa Jao Kisi Din