Showing posts with label urdu hindi poetry. Show all posts
Showing posts with label urdu hindi poetry. Show all posts

Tuesday, February 25, 2014

Naam Tera

zikar karta hai subah sham tera 
ghirty hain anso banta hai naam tera 

kesi ur ko kyn dekhy ye ankhein 
jab dil py lekha hai naam tera

Thursday, August 01, 2013

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din
Kya Roz Grajty Ho Baras Jao Kisi Din

Pairon Ki Tarha Husan ki Barish Mein Naha Lon
Badal Ki Tarha Jhoom K Gir Aao Kisi Din

Khusbo Ki Tarha Guzaro Mere Dil Ki Gali Se
Pholon Ki Tarhan Mujy Pay Bikhar Jao kisi Din

Guzray Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaye Sitary
Is Trahan Meri Raat Ko Chumkao Kisi Din

Main Apni Har Ek Saans Ussi Rat Ko Day Don
Sar Rakh k Mere Senay Pay Soa Jao Kisi Din

Wednesday, July 31, 2013

Yeh Alag Bat Hai Saqi K Mujy Hosh Nahi

Yeh Alag Bat Hai Saqi K Mujy Hosh Nahi
Warna Main Kuch B Hun Ehsan Framosh Nahi

Main Teri Mast Nigahon Ka Bharam Rakhlonga 
Hosh Aye B to Kehdoga Mujy Hosh Nahi

Chalo Khuwab Ankhon Main Saja Kar Dekhty Hai

Chalo Khuwab Ankhon Main Saja Kar Dekhty Hai
Chalo Hum Kisi Ko Apna Bana Kar Dekhty Hai

Khoon K Rishton Se Aitbar To Uth Gaya Hai
Chalo Haath Ki Lakiren Mita Kar Dekhty Hai

Zindagi Asaan Ho Jaye Shayad Hamari
Chalo Hath Ki Lakiren Mita Kar Dekhty Hai

Andheri Shab To Kisi Surat Kat`ti Nahi
Chalo Ghar Apna Jala Kar Dekhty Hai

Humy Maloom Hai K Tum Ny  Hamara Hona Nahi
Chalo Tum Par Yeh Zindagi Luta Kar Dekhty Hai

Tuesday, July 30, 2013

Sath To Ek Pal Ka Tha Phir Q Mujy Yaad Aty Ho Tum

Sath To Ek Pal Ka Tha Phir Q Mujy Yaad Aty Ho Tum
Aks Ki Trha Mere Dil Pay Q Cha Jaty Ho Tum

Dilbar B Nahi Ho Mere Humdam B Nahi
Yeh Rasty Piyar K Mujy Phir Q Dikha Jaty Ho Tum

Hum Kabi Milay They To Ek Ajnabi Ki Tarha
Meri Raaton Ki Nend Phir Q Urra Jaty Ho Tum

Hawon Se Hum Tumhara Pata Pochty Rahy
Kuch Icy Trha Se Apna Dewana Bana Jaty ho Tum

Monday, July 29, 2013

Ek Khuwab Ajab Sa Daikha Tha

Ek Khuwab Ajab Sa Daikha Tha
Hum Us Din Se Baizaar Piya

Ab Neend Bhi Hum Se Roth Gai 
Phir kaisay Ho Didar Piya

Ab Keh Dalo To Behtar Hai
Jo Karna hai Iqrar Piya

Dil Ghum Se Hi Phat Jaye Ga
Kar Daina Na Inkar Piya

Un Ashkon Ko Un Ankhon Ki 
Na Rok Saky Diwar Piya

Agar Rasty Sidhy Sadhy Hain
Tu Chalna Kyo Dushwar Piya

Haan Jism To Apna Lout Aaya
Par Bhatkay Rooh Us Par Piya

Sunday, July 28, 2013

Utar K Dekh Mere Pyar Ki Gehraiyon Main

Utar k Dekh Mere Pyar Ki Gehraiyon Main
Soch Mere Bhary Main Raat Ki Tanhaiyon Main

Agr Aa Jaye Meri Chahat Ka Yaqeen
To Pao gy Mujy Tum Apni Hi Parchaiyon Main

Mere B-Rabt Khayalat Main Kiya Rakha Hai

Mere B-Rabt Khayalat Main Kiya Rakha Hai
Main To Pagal Hon Meri Baat Main Kya Rakha Hai

Bandh Rakha Hai Teri Yaad Nay marzi Se Mujy
Warna Guzray Hovay Lamhat Main Kya Rakha Hai

Tu Mila Hai To Yeh Ehsas Hua Hai mujko
Tu Alag Hoto Meri Zat Main Kya Rakha Hai

Friday, July 26, 2013

Meray Jazbon Ki Sachai Ab Bhi Waisi Hai

Meray Jazbon Ki Sachai Ab Bhi Waisi Hai
Us K Bin Meri Tanhai Ab B Waisi Hai

Ab Kya Ehsas Dilana Usko Apni Mohabbat Ka 
Uski La Perwahi Ab B Waisi Hai

Wednesday, July 24, 2013

Kabhi Moum Ban K Pighal Gaya

Kabhi Moum Ban K Pighal Gaya
Kabhi Girty Girty Sambhal Gaya

Woh Ban K Lamha Guraiz Ka 
Meray Pas Se Youn Nikal Gaya

Usay Rokta B To Kis Tarha
K Woh Shaks Itna Ajeeb Tha

Kabhi Tarap Utha Mari Aah Se 
Kabhi Ashak Se Na Pighal Saka

Sar-e-Rah Mila Wo Agar Kabhi
To Nazer Chura K Guzar Gaya

Wo Utar Gaya Mari Ankh Se
Mere Dil Se Kyun Na Uter Saka

Woh Chala Gaya Jahan Chor K
Main Wahan Se Phir Na Palat Saka

Woh Sambhal Gaya Mager Aaj Tak
Main Bikher K Phir Na Simat saka

Tuesday, July 23, 2013

Ager Kisi Se Bicharna Itna Aasan

Ager Kisi Se Bicharna Itna Aasan Hota
Jism Se Rooh Lenay Farishty kabi Na Aty

Ajab Bemaqsad Hai Silsila-E-Ishq

Ajab Bemaqsad Hai Silsila-E-Ishq Bhi
Yeh Lamha Humse Guzara Nahi Jata

Nahi Door Tak Jeet K Aasaar Magar
Na Janay Kyun Humse Haara Nahi Jata

Monday, July 22, 2013

Itna Bohat Hai K Tum Dekhty Ho

Itna Bohat Hai K Tum Dekhty Ho Sahil Se
Safina Doob Raha Hai To Koi Baat Nahi

Kis Ki Majal Hai Jo Muj Ko Kahy Diwana
Agr Yeh Tum Nay kaha Hai To Koi Bat Nahi

Yeh Mere Bas Main Kahan K Tuj Ko Bhool Saku
Tu Muj Ko Bhool Gaya Hai Koi Baat Nahi

Sunday, July 21, 2013

Aisa Kia Maang Liya Jo Is Tarha

Aisa Kya Maang Liya Jo Is Tarha Se Bhola Diya Hamay
Sab Jaanty Howay Safa-e-Hasti Se Mita Dia Hamay

Saza Is Tarha To Na Maangi Thi Kabhi Tumse
Ek Khuwab Tha Ankhon Main Or Nend Se Jaga Dia Hamay

Saturday, July 20, 2013

Wo Dil Ka Bura Na Bewafa Tha

Wo Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Muj Se Youn Hi Bicher Gaya Tha

Lafzon Ki Hadon Se Mara Tha
Ab Kis Se Kahon Wo Shakhs Kya Tha

Main Uski Ana Ka Aasra Tha
Wo Mujse Kabi Na Ruthta Tha

Ik Baar Bichar K Jb Mila Tha
Wo Mujse Lipat  K Ro Parra Tha


Be Sabab To Na Thin Teri Yadein

Be Sabab To Na Thin Teri Yadein
Teri Yadon Se Kya Nahi Sekha

Zabt ka Hosla Barha Laina
Anson Ko Kahin Chupa Lena

Kaanpty Hothon Ki Sadaon Ko
Chup Ki Chadar Se Dhaanp Dena

Aur Be Sabab Kbi Kbi Hansna
Jab Ho Koi bat Tanhi Ki Mouz-e-Guftgo Badal Dena

Be Sabab To Nahi Teri Yadein
Teri Yadon Se Kya Nahi Seekha



Monday, July 15, 2013

Saza Pay Chor Dia Jaza Pay Chor Dia

Saza Pay Chor Dia Jaza Pay Chor Dia
Har Ik Kam Humny Khuda Pay Chor Dia

Wo Humko Yaad Rekhty Ya Phir Bhula Dety
Usi Ka Kam Tha Uski Raza Pay Chor Dia

Ab Uski Merzi Bhuja Daay Ya Phir Jala Rekhty
Charagh Humny Jala K Hawa Pay Chor Diya

Ab Us Se Baat B Karty To Kis Terhan Karty
Yeh Masla Dua Ka Tha Dua Per Chor Diya

Judaai Se Insaan Marty Nahi

Judaai Se Insaan Marty Nahi
Kuch Sangdil Log Mar Dety Hain

Bohat Hasta Hai Jin Pay Bahrose
Waqat Aany Par Wohi Daga Daity Hai

Balah Kon Sari Umer Sat Chalta Hai
Draht B Sookhy Pathy Gira Daity Hai

Sunday, July 14, 2013

Kabi Jo Ehsaas Ho Tum Ko

Kabi Jo Ehsaas Ho Tum Ko K Tum Acha Nahi Krty
Jo Muj Ko U Staty Ho Laho Mera Jalaty Ho

Agar Is Aag Main Jal Kar Main Ek Din Rakh Ho Jaon
Mujy Dil Se Bhula Dena Samandar Main Baha Dena

Magar Yeh Yaad Zakhna Tum Khuda Se Yeh Dua Krna
K Jo Acha lagy Tum Ko Wo Tum Jaisa Na Ho Hargiz


Saturday, July 13, 2013

Dondhtay Kya Hu In Ankhon May

Dondhtay Kya Hu In Ankhon May Kahani Meri
Khud May Ghum Rehna Tu Adat Hai Porani Meri

 Bheer May Bhi Tumhay Mil Jaon Gha Asani Say
 Khoye Khoye Rehna Nishani Hai Meri