Showing posts with label urdu hindi shayari. Show all posts
Showing posts with label urdu hindi shayari. Show all posts

Wednesday, July 31, 2013

Yeh Alag Bat Hai Saqi K Mujy Hosh Nahi

Yeh Alag Bat Hai Saqi K Mujy Hosh Nahi
Warna Main Kuch B Hun Ehsan Framosh Nahi

Main Teri Mast Nigahon Ka Bharam Rakhlonga 
Hosh Aye B to Kehdoga Mujy Hosh Nahi

Monday, July 29, 2013

Paas Aao Ik ilteja Sun Lo

Pas Aao Ik Ilteja Sun Lo
Pyar Hy Tum Se Bepnah Sun Lo

Aik Tum Ko Khuda Se Manga Hy
Jab Bhi Mangi Koi Dua Sun Lo

Ibteda Ishq Ki Hoi Tum Se
Tum Hi Ho Chahat Ki Inteha Sun Lo

Bin Tere Jee Nahi Sakungi Main
Lout Aao Meri Sada Sun Lo

Saqi Dekh Lo Zindagi Adhori Hai 
Na Raho Mujh Se Ab Juda Sun Lo

Ek Khuwab Ajab Sa Daikha Tha

Ek Khuwab Ajab Sa Daikha Tha
Hum Us Din Se Baizaar Piya

Ab Neend Bhi Hum Se Roth Gai 
Phir kaisay Ho Didar Piya

Ab Keh Dalo To Behtar Hai
Jo Karna hai Iqrar Piya

Dil Ghum Se Hi Phat Jaye Ga
Kar Daina Na Inkar Piya

Un Ashkon Ko Un Ankhon Ki 
Na Rok Saky Diwar Piya

Agar Rasty Sidhy Sadhy Hain
Tu Chalna Kyo Dushwar Piya

Haan Jism To Apna Lout Aaya
Par Bhatkay Rooh Us Par Piya

Sunday, July 28, 2013

Mere B-Rabt Khayalat Main Kiya Rakha Hai

Mere B-Rabt Khayalat Main Kiya Rakha Hai
Main To Pagal Hon Meri Baat Main Kya Rakha Hai

Bandh Rakha Hai Teri Yaad Nay marzi Se Mujy
Warna Guzray Hovay Lamhat Main Kya Rakha Hai

Tu Mila Hai To Yeh Ehsas Hua Hai mujko
Tu Alag Hoto Meri Zat Main Kya Rakha Hai

Saturday, July 27, 2013

Kisi Ka Naam Lo Be Naam Afsany Bohat Se Hain

Kisi ka Naam Lo Be Naam Afsany Bohat Se Hain
Na Jany Kis Ko Tum Kehty Ho Diwany Bohat  Se Hain

Jafaon K Gilay Tum Se Khuda Jany Bohat Se Hain
Magar Mehshr Ka Din Hai Apny Begany Bohat Se Hain

Bas Ab Soa Jao Neend Ankhon Main Hai 
Kal Phir Sunain Gy Zara C Reh Gai Hai Raat

Friday, July 26, 2013

Meray Jazbon Ki Sachai Ab Bhi Waisi Hai

Meray Jazbon Ki Sachai Ab Bhi Waisi Hai
Us K Bin Meri Tanhai Ab B Waisi Hai

Ab Kya Ehsas Dilana Usko Apni Mohabbat Ka 
Uski La Perwahi Ab B Waisi Hai

Teri Mushkil Na Barhaun Ga Chala Jao Ga

Teri Mushkil Na Barhaun Ga Chala Jao Ga
Ashk Ankhon Main Chupaon Ga Chala Jao Ga

Apni Dehliz Pay Kuch Der Para Rehny Do
Jaisy Hi Hosh Main Ao Ga Chala Jao Ga

Bad Mudat K Main Aaya Hun Puranay Ghar Main
Khud Ko Jee Bhar K Rulaun Ga Chala Jao Ga

In Galiyon Se Kuch Bhi Nahi Lena Mujh Ko
Bas Tumhein Dekhnay Aao Ga Chala Jao Ga

Tm Mere Sang Chalo Ya Na chalo
Main To Awaz lagao Ga Chala Jao Ga

Maine Yeh Jang Nahi Jetni Apny Liye
Takht Pay Tumko Bithaun Ga Chala Jao Ga


Baat Thi Mohabbat Ki

Baat Thi Mohabbat Ki Umer Bhar Ki Chahat Ki
Bheer Mein Zamanay Ki Sath Sath Chalna Tha

Imtehan Bhi Any Thy Zindagi K Sab Hi Pal Sath 
Bitanay Thy Janey Us Ny Kia Socha

Bas Aik Pal Main Youn Us Ny Baat Khatam Kar Dali
Zindagi Jo Pori Thi Woh Adhori Kar Dali

Par Kon Us Ko Samjay K Muhabaton K Mausam Bhi
Roz To Nahi Aty Youn Zindagi Mein Apno Ko Chor K To Nahi Jaty

Wednesday, July 24, 2013

Kabhi Moum Ban K Pighal Gaya

Kabhi Moum Ban K Pighal Gaya
Kabhi Girty Girty Sambhal Gaya

Woh Ban K Lamha Guraiz Ka 
Meray Pas Se Youn Nikal Gaya

Usay Rokta B To Kis Tarha
K Woh Shaks Itna Ajeeb Tha

Kabhi Tarap Utha Mari Aah Se 
Kabhi Ashak Se Na Pighal Saka

Sar-e-Rah Mila Wo Agar Kabhi
To Nazer Chura K Guzar Gaya

Wo Utar Gaya Mari Ankh Se
Mere Dil Se Kyun Na Uter Saka

Woh Chala Gaya Jahan Chor K
Main Wahan Se Phir Na Palat Saka

Woh Sambhal Gaya Mager Aaj Tak
Main Bikher K Phir Na Simat saka

Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai

Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai
Kagaz Ki Haveli Hai Barish Ka Zamana Hai

Kya Shart-e-Mohabbat Hai Kya Shart-e-Zamana Hai
Awaz B Zakhmi Hai Or Geet B Gana Hai

Us Paar Utarnay Ki Umeed Bohat Kam Hai
Kashti Bhi Purani Hai Tufan Ko Bhi Ana Hai

Samjy Ya Na Samjy Wo Andaaz Mohabbat Ka
Aik Shaks Ko Ankhon Se Aik Shair Sunana Hai

Bohli C Ada Koi Phir Ishq Ki Zid Par Hai
Phir Aag Ka Dariya Hai Aur Dor Kinara Hai

Tuesday, July 23, 2013

Ager Kisi Se Bicharna Itna Aasan

Ager Kisi Se Bicharna Itna Aasan Hota
Jism Se Rooh Lenay Farishty kabi Na Aty

Ajab Bemaqsad Hai Silsila-E-Ishq

Ajab Bemaqsad Hai Silsila-E-Ishq Bhi
Yeh Lamha Humse Guzara Nahi Jata

Nahi Door Tak Jeet K Aasaar Magar
Na Janay Kyun Humse Haara Nahi Jata

Tu Nahi To Zindagi Main Kya Reh Jayega

Tu Nahi To Zindagi Main Kya Reh Jayega
Door Tak Tanhaiyon ka Silsila Reh Jayega

Har Kadam Par Sath Chalna Ay Dost
Warna Teri Dosti Se Kuch Gila Reh Jayega

Monday, July 22, 2013

Woh Bat Bat Pay Apni Mishal Deta Hai

Woh Bat Bat Pay Apni Mishal Deta Hai
Woh Meri Fikar Ko Aisa Khayal Deta Hai

Bichernay Lagta Hai Mujse To Aisa Lagta Hai
Badan Say Jaisy Meri Roh Nikal Deta Hai

Darya Wafaon Ka Kabi Rukta Nahi

Darya wafaon Ka Kabi Rukta Nahi
Muhabbat Main Insan Kabi Jhukta Nahi

Khamosh Hain Hum Unki Khushi K liye
Aur Woh Samjty Hai K Hamara Dil Dukhta Nahi

Dil Main Wafa Ki Hi Talab Lab Pay

Dil Main Wafa Ki Hi Talab Lab Pay Sawal B nahi
Hum Hain Hisar-e-Dard main Usko Khayal B nahi

Wo Ana Prast Hai Main B Wafa Prast Hun
Uski Mishal B Nahi Mera Jawab B Nahi

Mat Khol Meray Makan K Udas Darwazy

Mat Khol Meray Makan K Udas Darwazy
Hawa Ka Shor Meri Uljhanay Barha Dega

Main Khob Waqif Hon Apny Dost Ki Fitrat Se
Woh Jab Dega Dard To Rula Dega

Saturday, July 20, 2013

Be Sabab To Na Thin Teri Yadein

Be Sabab To Na Thin Teri Yadein
Teri Yadon Se Kya Nahi Sekha

Zabt ka Hosla Barha Laina
Anson Ko Kahin Chupa Lena

Kaanpty Hothon Ki Sadaon Ko
Chup Ki Chadar Se Dhaanp Dena

Aur Be Sabab Kbi Kbi Hansna
Jab Ho Koi bat Tanhi Ki Mouz-e-Guftgo Badal Dena

Be Sabab To Nahi Teri Yadein
Teri Yadon Se Kya Nahi Seekha



Is Trha Nahi Karty Raabta To Rakhty Hai

Is Trha Nahi Karty Raabta To Rakhty Hai
Thora Milnay Julnay Ka Silsila To Rakhty Hai

Manzilen Buland Hon To Mushkilen B Aati Hai
Mushiklon Se Larnay Ka Hosla To Rakhty Hai

Jo Tumhary Apnay Hon Tum Se Piyar Karty Hai
Un Ka Haal Kaisa Hai Kuch Pata To Rakhty Hai


Qitab-e-Ishq Ko Parh Kar Bhula Dia

Qitab-e-Ishq Ko Parh Kar Bhula Dia Maine
Na Doston Se Na Dushmano Se Gila Kiya Maine 

Pochi Jo Kisi Ny Meri Dastaan-e-Gham
Bus Ek Chiragh Jala K Bujha Diya Humnay