Showing posts with label faraz ahmed poetry. Show all posts
Showing posts with label faraz ahmed poetry. Show all posts

Thursday, August 01, 2013

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din
Kya Roz Grajty Ho Baras Jao Kisi Din

Pairon Ki Tarha Husan ki Barish Mein Naha Lon
Badal Ki Tarha Jhoom K Gir Aao Kisi Din

Khusbo Ki Tarha Guzaro Mere Dil Ki Gali Se
Pholon Ki Tarhan Mujy Pay Bikhar Jao kisi Din

Guzray Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaye Sitary
Is Trahan Meri Raat Ko Chumkao Kisi Din

Main Apni Har Ek Saans Ussi Rat Ko Day Don
Sar Rakh k Mere Senay Pay Soa Jao Kisi Din

Wednesday, July 31, 2013

Yeh Alag Bat Hai Saqi K Mujy Hosh Nahi

Yeh Alag Bat Hai Saqi K Mujy Hosh Nahi
Warna Main Kuch B Hun Ehsan Framosh Nahi

Main Teri Mast Nigahon Ka Bharam Rakhlonga 
Hosh Aye B to Kehdoga Mujy Hosh Nahi

Apni Zaat Se Nikal Kar Tujy Tanha Chahon

Apni Zaat Se Nikal Kar Tujy Tanha Chahon
Maloom Tum Ko B Na Ho Tujhy Itna Chahon

Meri Har Saans Teri Amant Hai
Mujy Bata Main Tujhy Or Kitna Chahon

Meri Wafa B Silla Mange Tum Se
Tu Mujh Ko B Chahy Main Tujhy Jitna Chahon

Kisi K Dil Main Na Ho Kisi Ki Aisi Chahat
Koi Kisi Ko Na Chahay Main Tujhy Aisa Chahon

Tu Mujhy Bus Chahnay Ki Tamana Kar Ly
Tujhy Jitni Hai Talab Main Tujhy Utna Chahon

Chalo Khuwab Ankhon Main Saja Kar Dekhty Hai

Chalo Khuwab Ankhon Main Saja Kar Dekhty Hai
Chalo Hum Kisi Ko Apna Bana Kar Dekhty Hai

Khoon K Rishton Se Aitbar To Uth Gaya Hai
Chalo Haath Ki Lakiren Mita Kar Dekhty Hai

Zindagi Asaan Ho Jaye Shayad Hamari
Chalo Hath Ki Lakiren Mita Kar Dekhty Hai

Andheri Shab To Kisi Surat Kat`ti Nahi
Chalo Ghar Apna Jala Kar Dekhty Hai

Humy Maloom Hai K Tum Ny  Hamara Hona Nahi
Chalo Tum Par Yeh Zindagi Luta Kar Dekhty Hai

Tuesday, July 30, 2013

In Khoye Hovay Anson Se Aqidat Hai Mujy B

In Khoye Hovay Anson Se Aqidat Hai Mujy B
Teri Tarah Zindagi Se Shikayat Hai Mujy B

Tu Agr Nazuk Hy To Main B Nahi Pathar
Tanhai Main Ro Denay ki Adat Hai Mujy B

Sunday, July 28, 2013

Shab Bhar Nahi Sota Teri Yaad Main Aksar

Shab Bhar Nahi Sota Teri Yaad main Aksar
Betab Sa Rahta hun Teri yaad Main Aksar

beDard Zamany Ka Bahana Sa Bana Kar 
Main Toot K Rota Hun Teri Yaad Main Aksar

Na Milla Dil Ka Qadardan is Zamany main

Na Milla  Dil Ka Qadardan Is Zamany Main
Yeh Rishta Toot Gaya Dekhnay Dikhanay Main

Sochty Hain Ek Roz Shama Se Pochein 
K Maza Kis Main Hai Jalnay main Ya Jalnay Main

Friday, July 26, 2013

Chalta Tha kabhi Haath Mera Thaam k

Chalta Tha Kabhi Haath Mera Thaam K Jis per
Karta hai Bohat Yaad Wo Rasta Usy Kehna

Umeed Wo Rakhy Na kisi Aur Se
Har Shaks Mohabbat Main Nahi Hum Sa Usay Kehna

Tuesday, July 23, 2013

Ager Kisi Se Bicharna Itna Aasan

Ager Kisi Se Bicharna Itna Aasan Hota
Jism Se Rooh Lenay Farishty kabi Na Aty

Monday, July 22, 2013

Itna Bohat Hai K Tum Dekhty Ho

Itna Bohat Hai K Tum Dekhty Ho Sahil Se
Safina Doob Raha Hai To Koi Baat Nahi

Kis Ki Majal Hai Jo Muj Ko Kahy Diwana
Agr Yeh Tum Nay kaha Hai To Koi Bat Nahi

Yeh Mere Bas Main Kahan K Tuj Ko Bhool Saku
Tu Muj Ko Bhool Gaya Hai Koi Baat Nahi

Saturday, July 20, 2013

Is Trha Nahi Karty Raabta To Rakhty Hai

Is Trha Nahi Karty Raabta To Rakhty Hai
Thora Milnay Julnay Ka Silsila To Rakhty Hai

Manzilen Buland Hon To Mushkilen B Aati Hai
Mushiklon Se Larnay Ka Hosla To Rakhty Hai

Jo Tumhary Apnay Hon Tum Se Piyar Karty Hai
Un Ka Haal Kaisa Hai Kuch Pata To Rakhty Hai


Monday, July 15, 2013

Mujy Deewana Samjty Hai Tere

Mujy Deewana Samjty Hai Tere Shaher K Log
Kyo Mery Daaman Se Ulajty Hai Tere Shaher k Log

Main Gaya Waqat Hun Wapis Nahi Any Wala
Kyo Mera Rasta Taktay Hai Tere Shaher K Log

Or Kya Dun Tujhy Apni Wafaon Ka Sabot
Ab Mery Haal Pay Hastay Hai Tere Shaher K Log

Saza Pay Chor Dia Jaza Pay Chor Dia

Saza Pay Chor Dia Jaza Pay Chor Dia
Har Ik Kam Humny Khuda Pay Chor Dia

Wo Humko Yaad Rekhty Ya Phir Bhula Dety
Usi Ka Kam Tha Uski Raza Pay Chor Dia

Ab Uski Merzi Bhuja Daay Ya Phir Jala Rekhty
Charagh Humny Jala K Hawa Pay Chor Diya

Ab Us Se Baat B Karty To Kis Terhan Karty
Yeh Masla Dua Ka Tha Dua Per Chor Diya

Sunday, July 14, 2013

Un Ki Kisi Se Jo Mulaqaat Hoti Hai

Unki Ki Kisi Se Jo Mulaqaat Hoti Hai
Milnay Ki Ab Unko Ijazat Hoti Hai

Wo Jo B Kahy Hum Maan Laty Hai
Jhoot Main B Sadakat Hoti Hai

Apny Badan Ko Dhanp Kar Wohi Rakhty Hai
Zinda Jin Main Sharafat Hoti Hai

Sansoon K Ruk Jany Ka Ghum Nahi
Wafa Main Marna B Ebadat Hoti Hai

Saturday, July 13, 2013

Tum Say Milnay Ki Justajo

Tum Say Milnay Ki Justajo Bhi Hai
 Aur Tu Meray Ruh Baruh Bhi Hai

 Hosla Bhi Nahi Hai Jeenay Ka 
Aur Jeenay Ki Arzo Bhi Hai

 Hum Nay Socha Dil Jala dain 
 Phir Kheyaal Aya Is Dil May Tu Bhi To Hai

Friday, July 12, 2013

Gham-e-Doran Ko Sada Mujh Se Shikayat

Gham-e-Doran Ko Sada Mujh Se Shikayat Hi Rahi
Mere Alfaz Mein Dhalti Teri Sorat Hi Rahi

Zehen Kehta Tha Teri Shakal Bhula Kar Rakh Dun
Per Mere Dil Ko Sada Mujy Se Bagawat Hi Rahi 

Dushman-e-Jan Bhi Mujy Jan Se Mehboob Raha
Teri Ulfat Ki Mere Dil Py Hakumat Hi Rahi

Yun To jo Chaha Zamany Mein Mila Mujhko
Phir Bhi Ay Yaar Mujhy Teri Zarorat Hi rahi






Thursday, July 11, 2013

Tum Dost Hu Mery Sada K Liye

 Tum Dost Hu Mery Sada K Liye
 Main Zinda Hun Teri Wafa K Liye

 Ker Lena Lakhon Shikway Hum Say Magar
 Kabhi Khafa Na Hona Khuda K Liye

Kabhi Andhera Tu Kabhi Shaam Hu Geye
 Meri Har Khushi Teray Naam Hu Geye

Kuch Maang Ker Tu Dekh Hum Say
Hunton Pay Hansi Aur Hatheli Per Jaan Hu ge

 .
Sochty Thay K Pani Say Juda Hu K
 Ye Machliyaan kuye Tarapti Hain

 Nahi Maloom Tha K
 Nazdikyaan Adat Aur Adatain Zindge Ban Jati Hain



Wednesday, July 10, 2013

Toot Jaty Hain Bikhar Jaty Hain

Toot Jaty Hain Bikhar Jaty Hain
Kaanch K Ghar Main Muqadar Apny

Ajnabi To Sada Pyar Se Milty Hain
Bhool Jaty Hain To Aksar Apnay