Showing posts with label bewafa poetry. Show all posts
Showing posts with label bewafa poetry. Show all posts

Wednesday, November 18, 2015

Koi Talluq

Koi talluq na joro magr samny to raho
!,,,zee,,,!
Tum apny ghuroor main khush aur ham apny sroor men khush

Tuesday, November 17, 2015

Kat Kar Darkht

Kat kar darkht sakhein bacha rahe ho 
Nikal kar ankhein mujhy duniya dekh rahe ho 

Tumein kiya pata is dil par kya guzar rahi hai 
Tum dor khary ho kar muskura rahe ho 


Hum Ja Rahy Hain

Hum ja rahy hain wahaan jahaan dil ki qadr hun 
Bethy raho hum apni adaein sanbaal kar 

Monday, November 16, 2015

Teri Hur Ada

Teri hur ada mohabbat si lagti hai 
Ek pal ki judai mudat si lagti hai 

Pehle socha par ab sochty hain 
Zindagi ky hur lamhy main teri zarurt si lagti hai 

Sunday, November 15, 2015

Bohat Pashtao Gy

Bohat pashtao gy dard mando se juda ho kar 
!,,,Ay Jani,,,!
Phool bhi murja jate hain kanto se juda ho kar 

Kashti Tapak Rahi Hai

Kashti tapak rahi hai par dor hai kinara 
!,,,Ay Jani,,,!
Sitaron se poch lena kiya hal hai hamara 

Hina Rang Lati Hai

Hina rang lati hai pathar pay guss jany k bad 
Insan surkhrooh hota hai thokre khany k baad

Ay Chand

Ay chand tu kitna khush naseeb hai phirta hai ghali ghali 

Main kitna bad naseeb hun yar milta hai to kabhi kabhi 

Tu Nazar Na Raha Kar

Tu nazar na raha kar tujhe wasta hai khuda ka 
Ek tera hi chehra khush daikh kar hum apne gham bhula dete hai

Rang Bhartay Ho Bohat

Rang bhartay ho bohat khoob khayaalon mein 
Kia tum mery dard ki tasveer bna sakty ho 

Sara Kamaal To Mohabbat Ka Hai

Saara kamaal to mohabbat ka hai 
!,,,Warna,,,!
Pathar ki deewaron ko taj-mehal kon kehta 

Muskurahat

Me tere lab pe cha jaon ga muskurahat ki tarah
Apne honton se mera naam bula kar to dekh

Mohabbat Ho Bhi Jaye To

Mohabbat ho bhi jaye to kabhi izhar mat karna 
Yeh duniya sochy jazbon ki bari toheen karti hai 

Saturday, November 14, 2015

Aao Kabhi Youn

Aao Kabhi youn bhi mere pass
K aanay main lamha aur janay main zindagi guzar jaye

Ghazal

Tere hi khayal main raat guzar jati hai 
Bebasi k haal mai9n raat guzar jati hai 

Tu mujhay yaad karta hai k nahi 
Isi sawal main raat guzar jati hai 

Tere chehre ka aks zehen main banata hoon 
Taswr-e-Hilaal main raat guzar jati hai 

Tumhain chaand kahoon ya chaand jesa kahun 
Sochon k jaal main raat guzar jati hai 

Kaash k tu har wqt mere sath rahe 
Khwahish e kamal mainy raat guzar jati hai

Chalo Ye Bhi Acha Hai

Chalo ye bhi acha hai keh hum kisi ko achy nahi lagty
!,,,Ay Dost,,,!
Kisi ki aankh mein aanso to nahi hongy hamary chaly jany ky baad

Badal Jate Hain

Waqt ki aandi main pathar bhi hil jate hain 
Zindagi ki rahon main mausam bhi badal jate hain 

Badalate nahi rishte kabhi iss jahan mein 
Sirf nibhane wale insaan badal jate hain 

Friday, November 13, 2015

Ehsaas

Meri likhi hur baat ko tum sumjh nahi paty
!,,,Q k,,,!
Main ehsaas likhta hon tum alfaaz parhty ho 

Bewafa Duniyan Mein

Bewafa duniyan mein sari zindagi kon sath day ga 
!,,,Dost,,,!
Log to hathon se dafn kr k bhool jatay hain k qabar kon si thi 

Na Janay kon Thay

Na janay kon thay jo ban gaye manzil teri 
Hum to raaston ki tarah tery qadmon mein he rahy