Showing posts with label urdu ghazal. Show all posts
Showing posts with label urdu ghazal. Show all posts

Sunday, November 15, 2015

Ay Chand

Ay chand tu kitna khush naseeb hai phirta hai ghali ghali 

Main kitna bad naseeb hun yar milta hai to kabhi kabhi 

Rang Bhartay Ho Bohat

Rang bhartay ho bohat khoob khayaalon mein 
Kia tum mery dard ki tasveer bna sakty ho 

Sara Kamaal To Mohabbat Ka Hai

Saara kamaal to mohabbat ka hai 
!,,,Warna,,,!
Pathar ki deewaron ko taj-mehal kon kehta 

Muskurahat

Me tere lab pe cha jaon ga muskurahat ki tarah
Apne honton se mera naam bula kar to dekh

Tamasha

Taqdeer ny mohabbat ny ishq ny dosto ny 
Jis ny chaha mera tamasha bna dya 

Ahmed Faraz

Kesi bewafa ki khatir yeh janoon faraz kab tak 
Jo tumhein bula chuka hai usay tum bhi bhol jao 

Bohat Socha

Bohat socha Bohat sumjha Bohat hi der tak parkha
Tanha ho kay ji lena mohabbat se to behtar hai 

Farishty

Karty hain meri khamyion ka tazkrahis tarah
Log apny amaal main farishty hun jaise 

Kiya Likhon

Kiya lakhon zindagi kay baray main 
Wo log hi bichar gaye jo zindagi howa karty thy 

Saturday, November 14, 2015

Aao Kabhi Youn

Aao Kabhi youn bhi mere pass
K aanay main lamha aur janay main zindagi guzar jaye

Ghazal

Tere hi khayal main raat guzar jati hai 
Bebasi k haal mai9n raat guzar jati hai 

Tu mujhay yaad karta hai k nahi 
Isi sawal main raat guzar jati hai 

Tere chehre ka aks zehen main banata hoon 
Taswr-e-Hilaal main raat guzar jati hai 

Tumhain chaand kahoon ya chaand jesa kahun 
Sochon k jaal main raat guzar jati hai 

Kaash k tu har wqt mere sath rahe 
Khwahish e kamal mainy raat guzar jati hai

Sab So Gaye

Sab so gaye apna apna haal e dil suna kar 
!,,,Ay Khuda,,,!
Kiya mera koi nahi jo mujh se puchy tum kyun jag rahy ho 

Badal Jate Hain

Waqt ki aandi main pathar bhi hil jate hain 
Zindagi ki rahon main mausam bhi badal jate hain 

Badalate nahi rishte kabhi iss jahan mein 
Sirf nibhane wale insaan badal jate hain 

Aitbaar

Hur aik pe zara soch k aitbaar karna jana 
Mumkin nahi hur jaga tumein hum hi milenge

Hath Pakr k

Us ny hath pakr k meri hatheli py apni nazuk c ungli sy likha mujhy pyar hai tum sy
Na jany kaisi siyahi thi wo lafz mita b nahi aur aaj tak dekha b nahi 

Friday, November 13, 2015

Dosti

Koi kehta hai dosti nasha ban 
jati hai 
Koi kehta hai dosti saza ban 
Jati hai 
Dosti karo agr dil sey to 
dosti hi 
Jeny ki waja ban jati hai 

Hum To Ro Bhi Nahi Sakty

Hum to ro bhi nahi sakty kisi ki yaad mein 
Us ny kaha tha meri jan nikal jaygi tery ansu girny sy pehly

Meri Fitrat Main Nahi

Meri fitrat main nahi hai kisi ko bhool jana 
Bholty wo hain jin ko apne aap par ghuror hota hay

Nafrat Haqeer Bna Deti Hai

Nafrat to nafrat hai haqeer bna deti hai 
Mohabbat bhi Ashiq ko faqeer bna deti hai 

Anjam-E-Ishq

Hamein pata thaa k anjaam-e-ishq kiya hoga 
...Sham...
Bus jawani urooj par thi zindagi tabah kr bethay