Showing posts with label urdu ghazal. Show all posts
Showing posts with label urdu ghazal. Show all posts

Friday, November 20, 2015

Wo Itna Bewafa Nahin

Wo etna bewafa nahin mujhy bhool jaye ga 
Aksar chup rehny waly pyar boht karte hain 

Sarey Mehfil

Sarey mehfil jo bholoon to zamany ko khatkata hun 
Rahon main chup to zindagi ki baghwat mar deti hai 

Aala Mizaaj

Aala mizaaj qaatil nigahein 
Adayein to uff
Fanaa ho jaenge wallah hum 
Khud to tehreer kartey kartey

Bay Faida Hai ZIndagi

Bay faida hai zindagi main logoon ka hajoom
Pur khalos jo mil jaye ek shakhs hi kafi hai 

Zindagi Bhi Tery Naam Kr Di Hai

Zindagi bhi tery naam kr di hai hum ny 
Bus chand lamhy seny se laga lo mujh ko 

Thursday, November 19, 2015

Ada Qatal

Ada qatal nighah qatal zabaan qatal biyaan qataal
Bta qatal kahaan jaon jahaan jaon waha qatal

Wednesday, November 18, 2015

Khuwaish

Khuwaish mujhy nahi thi magr phr bhi ek shakhs
apny kamal lehjy se dil main sama gya 

Tun Ishq

Tu ishq ki koi aur nishani de de mujhy
Ye aansu to roz gir k sookh jate hain 

Waqt Aaj Bhi Tanha Guzrta Hai

Mana ky tujh se doryaan zayda barh gai hain 
Par tery hisy ka waqt aaj bhi tanha guzrta hai 

Tuesday, November 17, 2015

Ek Khiyal

Ek khiyal se anso chupa liye hum ne 
Udas reh kar kesi ko udas kiya rakhna 

Meri Adaat

Meri adaat nahin youn hur kesi pay mar mitny ki 
Par tujhy dekh kar dil ne sochny tak ki muhlat na di 

Ijazat

Bus jaty hain dil main ijazat liye bagir
Wo log jenhein hum zindagi bhar pa nahin sakty

Shkayat

Hum zaban sy shareek shakayaton ko karty nahin 
kyun ky hum apno par alzam lagay nahi jaty

Monday, November 16, 2015

Shikwa

Shikwa zulmat shab se to kahein behtar tha 
Apny hisy ki koi shama jalaty jaty

Mohabbat

Tu mila hai to yeh ehsas howa hai mujh ko 
Yeh meri umar mohabbat ky liye thori hai 

Dost Ho Ya Parinda

Dost ho ya parinda dono ko 
Azad chor do lout aya to humara 
Agr na lota to tumhara kabhi tha hi nahi 

Kuch Khas To Hai

Kuch khas to hai us shakhs ki yadon main warna 
Hur bar us ky zikar par hun ankhein nam na hoti 

Insan Ki Qimat

Mar jayein to bhar jati hai insan ki qimat 
Zinda rahy to jeny ki saza deti hai dunya 

Bardasht

Log muntazir thy k humein tota howa dekhein 
Aur hum thy k bardasht karty karty pathar ho gaye 

Sunday, November 15, 2015

Hina Rang Lati Hai

Hina rang lati hai pathar pay guss jany k bad 
Insan surkhrooh hota hai thokre khany k baad