Showing posts with label barish poetry. Show all posts
Showing posts with label barish poetry. Show all posts

Thursday, August 01, 2013

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din

Chehray Pay Mere Zulf Ko Bikhrao Kisi Din
Kya Roz Grajty Ho Baras Jao Kisi Din

Pairon Ki Tarha Husan ki Barish Mein Naha Lon
Badal Ki Tarha Jhoom K Gir Aao Kisi Din

Khusbo Ki Tarha Guzaro Mere Dil Ki Gali Se
Pholon Ki Tarhan Mujy Pay Bikhar Jao kisi Din

Guzray Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaye Sitary
Is Trahan Meri Raat Ko Chumkao Kisi Din

Main Apni Har Ek Saans Ussi Rat Ko Day Don
Sar Rakh k Mere Senay Pay Soa Jao Kisi Din

Thursday, July 11, 2013

Ek Raat Hoi Barsaat

 Ek Raat Hoi Barsaat Bohat 
 Main Tarpa Sari Raat Bohat

Har Ghum Tha Zamanay Ka Lakin
Main Tanha Tha Us Raat Bohat

 Phir Ankh Say Ek Sawan Barsa 
Jab Sehar Hoi To Kya Dekha

 Wo Badal Kitna Tanha Tha 
 Jo Barsa Sari Raat Bohat

Wednesday, July 10, 2013

Aye Assman Aaj Itna Baras

Aye Assman Aaj Itna Baras K Phir 
Kabhi Barish ki Tamana Na Rahy

Wafa Ka Baseraa Na Rahy 
Mohabbat Ki Tamana Na Rahy