Showing posts with label Funny Shayari. Show all posts
Showing posts with label Funny Shayari. Show all posts

Friday, October 12, 2012

Anwar Masood Kay Qataat

Kal jo hua hai daf atan us se mera mukaalma 
khoobiy-e-ikhtisaar ka tajruba kuch  unique hai 
Main ne kaha ke bazm-e-naaz us ne kaha ke kya kaha 
Main ne kaha ke kuch nahin us ne kaha ke theek hai 

pankhay ki ruki nabz chalaane kay liye aa 
kamre ka bujha balb jalaane kay liye aa 
tamheed-e-judaai hai agarchey tera milna 
aa phir se mujhe chor kay jaane kay liye aa 

Aetbar Bhi Kiya

pyar bhi kiya 
aetbar bhi kiya 
iqrar bhi kiya 

Magr na mila pyar 
na aetbar 
na izhar 

sirf mili haar
aur jhooton ki mar

Ye Chand Bhi Ajeeb Sitam Dhata Ha

Ye chand bhi ajeeb sitam dhata ha,
Zra gour farmaiyega.
Ye chand bhi ajeeb sitam dhata ha
Bachapan mein ye mamo or jawani mein janu nazar aata hai 

Meri Biwi Ko Mat Ghoro

Padosi se kaha main ne,meri biwi ko mat ghooro 
Tumhari bhi bhali changi hai,us ko hi ghor lo bhai 
Wo bola muskura kar ap bhi kya baat karte hain 
Mithai apni khata hai kabhi kya koi halwaai 

Pakistan Ki Sair

Aao shehedon sair karein tumko pakistan ki 
Jisky khatir tumney lakhon janey qurban ki 
Na kabi ka farman na laaj rakhi rehman ki 
Khud ko kaha muslim hum ney our harkat ki shaitan ki 
band kr jism par bomb lakon masomon ki janli 
Na jung aurat ki 
Na jung kisi maal ki 
Lakhon janey le humny baghair jismo khal ki 
Na hasan ki qurbani na hussain ki shadat yad ki 
Kaey maon k lal mardey ye kesi hum ny majal ki 
Ab kese karein sair tumko hum apny pakistan ki 

Kitni Kanjosi Pe Amada

Kitni kanjosi pe amada hain mare susral waley 
Raz ki baat bataoon to dar lagta hai 
Asey kamrey main sooladia mere saloon nay mujhey 
Paoon phaylaoon tu diwar se sar lagta hai 

Dil Bana To Deewane Bane

Dil bana to deewane bane 
Sharab bani to mekhane bane
Kuch to baat hai ap mein bhi 
Yoonhi to nahi pagal khane bane 

Aaj Yaaro Phir Ham

Aaj yaroo phir ham s ho gaey eik bhool
Tohfe mein de diya os ko ghobi ka phool

Pappu Yaar Tang Na Kar

Maire dukhoon ki dhanak mein rang na bhar 
Mohabbat our nafraat ki jang na lar 
Khushi mere ghum k sung na kar 
Pappu yaar tang na kar 

Total Nonsense Funny Urdu/Hindi Shayari

Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney 
pyar ke rivajon ko zamana kiya jaaney 
Hoti hai kitni takleef larrki ko pataney main 
Ye ghar pe baitha larrki ka baap kiya jaaney 
?
Hai tu ager mera dilbar
hai tu magar mera dilbar
To aj ke lunch ka bill tu bhar 

Hum guzre un ki gali se ajab ittefaq tha 
Hum guzre un ki gali se ajab ittefaq tha 
Unhon ne phenka hum pe phool
 lekin gamla bhi sath tha 
?
Un ki gali ke chakkar kaat kaat kar 
Kutte bhi hamare yaar ho gaey 
Woh to hamare ho na sakey 
Hum kutton ke sardar ho gaey
?

Na woh inkaar karti hai 
Na woh ikraar karti hai 
Kambakhat mere hi sapnon  main aa kar
Mere dost se pyaar karti hai 
?
Mene pocha chand se 
kabhi dekha hai mere yaar sa haseen
Chand ne kaha: chandni ki kasam 
22005999999 Entries found
?
Agar tum kaho to tumhare liye 
Aasman se chand taare torr laun 
Agar tum kaho to tumhare liye 
Aasman se chand taare toor laun 
Lekin tum unka karo gi kya 
(Kya Logical Sher Hai)
?
Jub dekha unhon ne tirchi nazar se 
To hum madhosh ho gaey 
Par jab pata chala ke un ki nazren hi tirchi hain 
To hum behosh ho gaey 
?
Jab jab girja baadal teri yaad ai 
Jhoom ke barsa saawan teri yaad ai 
Bheega main lekin phir bhi teri yaad ai 
Kiyun na aey teri yaad?
Tune jo chahtri ab tak nahi lautai 

Jahan Ki Khilwat Me ZUlul Ayega

Jaha ki khilwat me zulul ayega 
Gam-e-tohin se kubul nahi ayega
Maklul ki ibrat hai ye qurfa ghalib 
Damag phat jayega per shair samjh nahi ayega

Zindagi Lambi Hai Dost Banate Raho

Zindagi lambi hai dost banate raho 
DIl mile na mile milate raho 
Taj mahalbanana to mushkil hai mager
Har gali main 1 anarkali phasantay raho 

Thursday, October 11, 2012

Shaadi Ka Wada Kia Parveen Se

A shaadi ka wada kia parveen se 
Warna muhabbat maheen se 
Anjane mein sab kehdia mehreen se 
kia haal hoa tha pocho samreen se 
Ab ummeed hai sirf noreen se 
lekin baat banegi narmeen se 
Ya phir dekho ambreen se 
Nahi to shayad nosheen se 
Or hosakta hai k naveen se 
Warna setting to hai sabeen se

Shaadi Ki Salgirah

Aaj tak woh band baje shaamiyaana yaad hay 
Khud ko itni dhoom se sooli charhana yaad hay 

Teen moqay bhi diye qazi ne ghor-o-fikr ke 
Aaj tak who qeemati moqay ganwana yaad hay 

Aik nah kafi thi her muskil se bachne ke liye 
Hum ko han ka faislaa who ehmaqana yaad hay 
Ghar jise laye the hum roti pakane ke liye 
Ab pakati hey humen us ka pakana yaad hay 

Nah silaee janti hay nah cooking maloom hay 
Han oose shohar ko ungli per nachaane yaad hay 

Uski her ik baat per kehna hi parta hay bajaa
Is tarah ooska humen barson bajana yaad hay 

Mantay men hum husaini hadessaa hoga shdeed
Kiyon keh tum ko waqeaa itna puranaa yaad hay 

Hamein Dekh Kar Muskurate Hain

Woh aaj bhi hamein dekh kar muskurate hain 
Woh aaj bhi humein dekh kar muskurate hain 
Yeh to unke bachee hi kameene hain 
Jo mama mama keh kar hume bulate hain 

Mujhe Mer Makaan Ka

Qabza Dilaya Mujhe mer makaan ka 
Mere jo thea wakeel adeem-ul-nazeer hain 
Feez un ki poochte ho to ab is makaan mai
Khood hazrat-o-wakeel rihaayesh pazeer hain

Jab Yeh Izraayel Se

Jab yeh izraayel se haq na kaha roz-o-azal
Har tan-e-zinda mai apna sard khanjar ghonp de
Bol uttha haatif khudawand mujhe har marg per
Misraa-e-taareekh dene ka wazeefa sonp de

Kata Hai Haj Kaa'abe Ka Safar Bhi

Kata hai haj kaa'abe ka safar bhi
Surror-o-kaif ke saagher luundhaate

Yaheen gaari mai huuqa mil gaya tha 
Karachi tak gaye hain kash lagaate 

Banen Len Jaandeo

Banen len jaandeo 
Banen le ke andeo

Paandeo te pendi nai 
Laandeo te lendi nai 

Le jaave te dooji waari 
Paan jo gi rendi nai 

Banen mai diyan ga 

Pao ge to pe jaaye 
Lao ge te le jaaye 

Le jaaye te dooji waari 
Paan jo gi reh jaaye 

Banen meri vadhiya 
Banen meri top di 

Vaddian noo poori aaye
Nikeyaan de naap di 

Cheez huve asli 
Te Moon paee boldi 

Thoop nalo gori lage 
Rassi utte daldi 

Jinne varrey chao tussi ais noon ha ndaa lo 
Phr paanve bachayaan da jhaangia bana lo 

Kal k Bachon Ki Majlish Mai

Kal ik bachon ki majlis mai kaha eik shokh bache ne
Hamari taak mai dushman bare huushyar behthe hain 
Azeezo sathio mansooba bandi ke zamaane mai 
Ghaneemat hai k hum soorat yahan do chaar bethe hain