Friday, October 12, 2012

Total Nonsense Funny Urdu/Hindi Shayari

Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney 
pyar ke rivajon ko zamana kiya jaaney 
Hoti hai kitni takleef larrki ko pataney main 
Ye ghar pe baitha larrki ka baap kiya jaaney 
?
Hai tu ager mera dilbar
hai tu magar mera dilbar
To aj ke lunch ka bill tu bhar 

Hum guzre un ki gali se ajab ittefaq tha 
Hum guzre un ki gali se ajab ittefaq tha 
Unhon ne phenka hum pe phool
 lekin gamla bhi sath tha 
?
Un ki gali ke chakkar kaat kaat kar 
Kutte bhi hamare yaar ho gaey 
Woh to hamare ho na sakey 
Hum kutton ke sardar ho gaey
?

Na woh inkaar karti hai 
Na woh ikraar karti hai 
Kambakhat mere hi sapnon  main aa kar
Mere dost se pyaar karti hai 
?
Mene pocha chand se 
kabhi dekha hai mere yaar sa haseen
Chand ne kaha: chandni ki kasam 
22005999999 Entries found
?
Agar tum kaho to tumhare liye 
Aasman se chand taare torr laun 
Agar tum kaho to tumhare liye 
Aasman se chand taare toor laun 
Lekin tum unka karo gi kya 
(Kya Logical Sher Hai)
?
Jub dekha unhon ne tirchi nazar se 
To hum madhosh ho gaey 
Par jab pata chala ke un ki nazren hi tirchi hain 
To hum behosh ho gaey 
?
Jab jab girja baadal teri yaad ai 
Jhoom ke barsa saawan teri yaad ai 
Bheega main lekin phir bhi teri yaad ai 
Kiyun na aey teri yaad?
Tune jo chahtri ab tak nahi lautai