Kal jo hua hai daf atan us se mera mukaalma
khoobiy-e-ikhtisaar ka tajruba kuch unique hai
Main ne kaha ke bazm-e-naaz us ne kaha ke kya kaha
Main ne kaha ke kuch nahin us ne kaha ke theek hai
pankhay ki ruki nabz chalaane kay liye aa
kamre ka bujha balb jalaane kay liye aa
tamheed-e-judaai hai agarchey tera milna
aa phir se mujhe chor kay jaane kay liye aa