Showing posts with label Dukhi Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dukhi Shayari. Show all posts

Thursday, September 27, 2012

Aye Subah-e-Eid, Ghar Ko Sajaaon To Kis Tarah

Bichre huyon ki yaad mein ankhain udaas hain,
Aye subah-e-eid, ghar ko sajaaon to kis tarah

Guzar Gayi Ye Eid Bhi Gham-e-Zindagi Ki Tarhaa

Guzar gayi ye eid bhai gham-e-zindagi ki tarhaa
Hota jo koi apni apna to ham bhi khushyaan manatey

Kehta Tha Na Mujhe Ko Pardes Bhejo Maan

Kehta tha mujh ko pardes bhejo maan,
Ab mery baghair eid kaisy manao gi maan,

Sab k bety jab aayen ge eid parh ke,
Tum darwazy mein khari takti reh jaogi maan,

Saway yan jab bantny lago gi mohally mein,
Tumhari palk aanson se bheeg jaye gi maan,

Sham tak bhi jab na pohnch paonga ghar,
Tery dil ki dharkan jaisy ruk si jayegi maan,

Eid parh kr jab wapis aaonga duty pe,
Tasali ye dil ko de kr so jaonga maan,
Eid ka kiya hai agly saal phir ajyegi maan,

Chalo Acha Hua Eid Ab Ke Bhi Tanha Guzri

Suna hy chand Nikla tha,
Suna hy eid bhi hogayi
Humein to aasman pe door tak,
Kuch bhi nahi dikha tha,
Kahan wo chand nikla tha, 
Jis k wasty hum ne,
Kabhi palkein nahi jhapki
Wo jis ka rasta takty
Hy guzari zindagi apni,
Nahi kuch bhi khabar ke wo,
Nikly ga to kab akhir...?
Humari muntazir aankhon ko,
Us ki deed kab hogi,

Abhi tum hum se mat pucho, 
Humari eid kab hogi...

Aaj Agar Eid Thi To Phir Eid Mubark

Ghamon ney cheen li hai mujh sy sery yadasht
Aaj ager eid thi to phir eid mubark

Aey Saajan Ye Qayamat Hui Ke Eid Hui

Na hath diya, na galay milay, na muyassar tumhari deed hui
Ab tum hi batao aey saajan ye qayamat hui ke eid hui 

Kya Sunayain Kis Hall Main Ati Hai Pardes Ki Eid

Kya sunayain kis hall mein hai pardes ki eid,
Nikal aate hain aansu jab yaad ati hai dess ki eid

Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne,
Jis ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid

Aate hain yaad jab woh phool se chehre, 
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai paredes ki eid,

Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum,
Bas youn hi guzar jati hai pardes ki eid,

Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid,
Agley saal phir aa jati hai pardes ki eid...

Wednesday, September 26, 2012

Zakham Ka Dil Per Asar Na Tha Koi

Kisi bhi zakham ka dil per asar na tha koi 
Yeh baat jab ki hai jab chaaragar na tha koi 

Banaye jaaon kisi aur ke bhi naksh-e-qadam
Yeh kyon kahoon ke mera hamsafar na tha koi 

Wo Bhi Youn Chor ke Gaya

Wo bhi youn chor ke gaya shamsul,
Jis tarha kareeb se hawa guzar jati hai.

Bss Toot Ke Toota Hoon

Koi na bulao mujhe, mein aaj sab se rootha hoon
aesa toota hoon mere yaar, ke bss toot ke toota hoon 

Jo Na Hona Tha Huwa Kyun

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon,
Raha mujhse wo juda kyun, main ishi soch mai hoon,

Youn to har shay mai ha uska hi chamakta chahra,
Dil e beemar ka ek wo hi to masheeha hai,

Phir na jane wo mujhse hai khafa kyun, main ishi soch mai hoon

Meri chahat ka nighebaan hai wo mera sanam,
Meri khushiyon ka ek wo hi to khazana hai,

Phir in haathon ki lakeeron ke alag nishan kyun, main ishi soch mai hoon.

Uske aane se to har shay mai roshnayi hai,
Wo mahakta hai to baagon mai aati hai bahaar,

Phir wo mera shahe khuda mujhse ba-dua kyun , main ishi soch mai hoon

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon.
Raha mujhse wo juda kyun , main ishi soch mai hoon 


Tu Mujhe Chor Ke Jata Hai To Ja

Tu muje chor ke jata hai to ja,
Mai to har roj tera intzar karuga,
Tu dil tor ke jata hai to ja,
Mai khud ko har roj barbad karuga

Tuesday, September 25, 2012

Toot Kar Bikharta Hoon

Toot kar bikharta hoo'n to is baat ka ahsaas hota hai
Zindagi itni takleef deti hai to maot ka aalam kya hoga

Kis Baat Ka Gham Hay

Agar woh pooch lain hum say, tumhain kis baat ka gham hay 
Tou phir kiss baat ka gham ho, agar woh pooch lain hum say 

Dil Lagi Ho Gi

Ab ke agar laga dil to sirf dil lagi ho gi ,
Hum tum apni mohabbat tamam kar bethe

Hum To Aese Badnaseeb

Arey hum to aese badnaseeb hain mere dost,
Beiche'n agar kafan to log marna hi chorr dein.

Mein Uska Hoon

Mein uska hoon, yeh tou main jaan geya hon lekin
Woh kis ka hai, yeh sawaal mujhe sonay nahi deta 

Ajab Halaat They Mere

Ajab Halat they meray ajab din raat thay meray 
Magar mai mutamien tha, ke tum sath thay meray

Meray zar k talabgaron ki nazrain uthti theen
K lakho ungalian theen aur hazaron hath they meray 

mai ik pathar ka gard alood buut tha un k mandar mai
Na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray 

Kisi se aur kia taiyeed ki umeed mai rakhta 
Wohi khamoosh thay jo merhram e halat thay meray 

Mai jin sholon main jalta tha, mukhtalif sadmat thay meray 

Mujhey mujrim bana k rakh dia jhootey gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay bhi ilzamat thay meray

Tasawor ban geua taseev aakhir aik din woh 
isi ka khoaf tha mujh ko yehi khadshat thay 

Gehra Zakhm

Wafaa ka zakhm hai gehra to koe baat nhi 
Lagaao bhi to hame unse intehaa ka tha 

Main Bikhar Geya Chup Chaap

Main raiza raiza hawa main bikhar gia chup chaap,
Teray firaq ka mosam guzar gia chup chaap,

Kisi nay kaan nah meri sada-e-dil pay dharay,
Meray wajood main ek shakhs mar gia chup chaap