Ajab Halat they meray ajab din raat thay meray
Magar mai mutamien tha, ke tum sath thay meray
Meray zar k talabgaron ki nazrain uthti theen
K lakho ungalian theen aur hazaron hath they meray
mai ik pathar ka gard alood buut tha un k mandar mai
Na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray
Kisi se aur kia taiyeed ki umeed mai rakhta
Wohi khamoosh thay jo merhram e halat thay meray
Mai jin sholon main jalta tha, mukhtalif sadmat thay meray
Mujhey mujrim bana k rakh dia jhootey gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay bhi ilzamat thay meray
Tasawor ban geua taseev aakhir aik din woh
isi ka khoaf tha mujh ko yehi khadshat thay