Kya sunayain kis hall mein hai pardes ki eid,
Nikal aate hain aansu jab yaad ati hai dess ki eid
Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne,
Jis ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid
Aate hain yaad jab woh phool se chehre,
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai paredes ki eid,
Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum,
Bas youn hi guzar jati hai pardes ki eid,
Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid,
Agley saal phir aa jati hai pardes ki eid...