Showing posts with label Dhoka Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dhoka Shayari. Show all posts

Sunday, September 09, 2012

Tum Thak Gaye Ho Aao Kuch Aaram Bhi Karo

Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi karo
Khud ko humarey naam say badnaam bhi karo

Ye kaya k in ruton mein bhi qaid-e-ana ki zid
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi karo

Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko tor do
Ahl-e-jahan ki saazidhen nakaam bhi karo

Tark-e-taluq ka maatam bohat hua
Tum thak gaye ho aao kuc aaram bhi karo

Aadat Ho Gayee

Wada to kar lete hai nibhana bhul jate hain
Laga k aag seene me bujhana bhul jate hain

Bhulana to aadat ho gayee hai logo ki
Rulate hai phir manana bhul jate hain

Jal Raha Hoon Main

Badan ke donon kinaaron se jal raha houn main
Ke chuu raha houn tujhe,aur pighal raha houn main

Tujhi pe khatam hai jaanaan meri zavaal ki raat
Tu ab tulu bhi ho jaa,ke dhal raha houn main

Bulaa rahaa hai miraa jaamma-zeb milne ko
To aaj pairahan-e-jaan badal raha houn main

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hausla bhi to dekh
Havaa-e-taazaa tire saath chal raha houn main

Main khwaab dekh raha houn ke wo pukaarta hai,
Aur apne jism se bahar nikal raha houn main

Kuch Aur Tanhai Ki Shamein

Kuch aur tanhai ki shamein mera muqadar baneen
Faraz
Muje pagal me b to ek saey k hasool ka tha iztarab

Mujhe Bhool Jane Ka Shukria

yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria
Bara pur khatar tha yeh rasta tere laot jane ka shukria
Jo udaas hain tere hijr mein jane bojh lagti hai zindagi
Sar-e-bazam yon unhein dekh ke tere muskurane ka shukria
Teri yaad kis kis bhais mein mere sher-o-nagma main dhali gai
Teri yaad ka mujhe yaad ane ka shukria,
Jo zamane bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha dia
Yehi rasam tehri hai motabar mujhe bhool jane ka shukria

Jalaa Dala

Mein ek kitab ka wo safa hu Zahid
jise barso pehle kisi ne parh kr jala dala

Jinhe Devta Samja Tha

Jinhe devta samja tha haiwaan se badtar nikle,
Jinhe samja tha manzil wo raste ka patthar nikle,
Unki har khawahish hamari beaaburiyat thi,
Un par hamare dare beasar nikle,
Unke har badlaav ko nayi ada samja,
Is bhulabe me hum margat ki dagar nikle,
Jinke lafzo ko sanjoya dil me aaj tak
Chamkte paimaane me wo ik zahar nikle,
Yakeen tha jin par khuda se adhik
Wo to hamari maut ka sabab nikle,
Unka har teer chalta tha karne hame halaal,
Tabse is dil par anginat kahar nikle,
Aaj bhi unke intzaar me.. Bheege bheege se hai nayan,
Wo na jane kis gair-sang kidhar nikle

Pyar Aata Hai

Use ata hai mere pyaar par ghussa
Mujhe us k ghusse pe pyar ata hai

Teri Nigaah Bhi

Teri nigaah bhi iss daur ki zakaat hui
Jo mustahiq hai ussi tak naheen pohanch pati

Iss Andaaz Se Rothoon Ga

Rootha agar tujh say to iss andaaz say roothoon ga.
Teray shehar ki matti bhi meray wajood ko tarsay gi

Jhooty Fasany

Bohat Farsooda lagta hain mujhe ab yaar ke kissey
Gulo gulzar ki batin,lab-o-rukhsaar ke kissey

Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm -e- judai hai
Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey

Musalmanon Ko Jalaye Nahi Jata

Wo aay meri kabar pe to raqeeb ke sath
Kon kehta hai ke musalmanon ko jalaye nahi jata

Mery Zakhm

Chara ger cheekh uthey hosh na aaya pehron,,,
Mery seeny mein tera zakhm jo gehra dekha,,,

Ye Mumkin Hai

Kabi to ki hogi suraj ne chand say mohabbat
Tabhi to chaand mein daagh hay

Mumkin hai ki chand ne ki hogi bewafai
Tabhi to suraj mein aag hay

Mery Zakhm

Jab laga tha teer tab itna dard na huwa
Zakham ka ehsas tab hua jab kamaan dekhi apnon k hath mai....:(

Fareb-e-Dosti

Zamane bhar ney luta hai Faraz fareb-e-dosti day kr
Agar tu sath day mera to sub se dushmani kr loon

Barbad Kia

Wo mily ga to us sy poochin gay dosto
Kis kis ko abaad kiya hai mujhy barbaad kar k,,,,

Tu Qaatil Hai

Tumhe maloom hai jaana k tum bhi ek qaatil ho,
Mere andar ka hansta hua insaan tumne maar dala hai

Ik Roz

Mila ke hath ik roz khud hi daman chura liya usne humse,
Wohi shakhs jo kabhi aaghosh meins ony ki zid kia karta tha

Meri Ankhon Mein

Kuch khawab the meri ankho mein
Tujhe pe lene ki chahat thi

Chand lafzoon mein hi kehta hu
Mujhe tum se bohat mohabbat thi

Per tum kya jano chahat ko
Tumhe ho jati to poochta mai

Dil jab jab toot ke rota hai
Kiya dard tumhe bhi hota hai

Ye khawab haqeeqat ho jaye
Kisi apne jaise sang-dil-se

Tujhe kash mohabbat ho jaye