Sunday, September 09, 2012

Jinhe Devta Samja Tha

Jinhe devta samja tha haiwaan se badtar nikle,
Jinhe samja tha manzil wo raste ka patthar nikle,
Unki har khawahish hamari beaaburiyat thi,
Un par hamare dare beasar nikle,
Unke har badlaav ko nayi ada samja,
Is bhulabe me hum margat ki dagar nikle,
Jinke lafzo ko sanjoya dil me aaj tak
Chamkte paimaane me wo ik zahar nikle,
Yakeen tha jin par khuda se adhik
Wo to hamari maut ka sabab nikle,
Unka har teer chalta tha karne hame halaal,
Tabse is dil par anginat kahar nikle,
Aaj bhi unke intzaar me.. Bheege bheege se hai nayan,
Wo na jane kis gair-sang kidhar nikle