Showing posts with label Dard Bhari Shayar. Show all posts
Showing posts with label Dard Bhari Shayar. Show all posts

Sunday, September 02, 2012

Aa Kabhi Andherey Main

Aa Kabhi Angerey Main
Dekh Surat-e-Dunya

Rung Tou Tamasha Hy
Sirf Dhup Chaao'n Ka

Main Agar Tumhai,n Jo

Main agar tumhai'n jo
Sanwar doon

Tumhare-roz-o-shab
Ko nikhaar doon

Mera thaam k
Ehad do

Mujhe apne dil main
Rakho gy tum

Tumhain is qadar jo
Main pyar doon

K zindagi hi haar doon

Tou batao na
Mere baad bhi

Ye hi ehad apna
Nibhao gy

Ya k mujh ko bhool
Hi jao gy

Shikway

~ Shikway ~

Dur reh kr qareeb
kitny hyn

Faasly bhi ajeeb
Kitny hyn

Dard-e-dil ki dawa
Nahi werna

Is jahan main tabeeb
Kitny hyn

Umar bhar saath jo
Rahe tere

Us k achy naseeb
Kitny hyn

Kyun na aaya main
Tere sapno'n main

Mere shikway bhi
ajeeb kitny hyn


Duniya Badi Moo Zor Hai Bahi

Duniya badi moo zor hai bahi
Yeh Banda Kamzor hai bahi

Yaha koi kisi k kaam nein ahta
Yeh nafsa nafsi ka daur hai bahi

Kis ko mun ka meet banahain
Har koi yahan chor hai bahi

mein kisi ko dil de baitha
Ishq pe kis ka zor hai bahi

Aise mard ko janat milay gi
Jo dua biwion ka shour hai bahi

Duniya ki nazroon mein hum chote sehie
Dostoon mein apni,touhr hai bahi

Dil Me Chubhi Baaton Ko

Dil me chubhi baaton ko waqt ki trikh de do
Aaj khushiya mana lo gamo ko fir kabhi yaad karenge

Rakh lo dil me chipa kar dard aapne
Ye bevajah hi aashko ke moti barbad karenge

Aaj jo lamhe hai kal ho na ho
Jee lo aaj jee bhar ke inhe kal muskurate huye inki baat karenge

Yaadein Akasar Lago Ki Yaad Dila Jaati Hai

Tere aane ki umeed me ek paigam likha hai
Ashko ki sheyahi se tujhe salam likha hai

Adhure se in khwabo me
Rutha huwa tera naam likha hai

Aaj bhi tere intezar me raahen udas hoti
Tere na aane dard raha dil me kuch soch ye aakhiri kalaam likha hai

Tu kar khuhiyo ki mehfile aabad
Meri duaao ne ibadat me subho-sham likha hai

Tu na aayega ye maloom na tha
Shayad kismat ne meri umeedo ka yahi aanjaam likha hai

Beh rahi hai lahar dhadkano ki dhire dhire
Usi ret pe mohabbat naam likha hai

Tere aane ki umeed me ek paigam likha hai

Tumhare Kaam Na Aayega

Kal mera tassvur tumhare kaam na aayega
Yaad to rehega ye chehra tumhe

Shayad fir hontho pe mera naame na aayega
Karenge jane kitane phool raho pe intezar tumhara

Fir kabhi shayed un raho pe mera makam na aayega
Aahaten meri sunyi dengi tanhai ke galiyaro me tamhe

Dard hoga mujhe aur tumhe aaram na aayega
Kitabo me dabe phul chup rahenge ye soch ka

Ki shayad aab unka koi anjam na ayega

Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua

Tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua
Khoi hai kyon har khushi kiski lagi bad-dua

Tu hi bata zindagi jo bhi hua kyun hua
Khoi hai kyun har khushi kiki lagi bad-dua

Kise kise jawab do bhuja bhuja yeh dil hai kyon
Kya main kahoon bikhra kyon saapna mera

Tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua
Khoi hai kyon har khushi kiski lagi bad-dua

Bheege bheege din kali raatein
Aasoon ke jaise barsatein

Bheege bheege dil kali raarein
Aasoon ke jaise barsatein

Puche mujhse jo dil ki baatein
Kya main kahoon dard kyon dil ko mila

Tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua
Suna suna sa hai ab teh man

Doobi doobi si hai ab dhadkan
Suna suna sa hai ab yeh man

Doobi doobi si hai ab dhadkan
Jaaon kahan ab yahi hai uljhan

Kya main kahoon khoya kyon rasta mera
Tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua

Khoi hai kyon har khushi kiski lagi bad-dua
Kise kise jawab do bhuja bhuja yeh dil hai kyon

Kya main kahoon bikhra kyon sapna mera
Tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua

Aandhiyon Main Aur Chaliye

Aandhiyon mainaur chaliye
Ladkhadate ab kahaan tak

Ek aawaraa dhuain se
Udiye kis kis aasmaan tak

Gham ki gehrai khaayin main
Aur bhaiyega kahaan tak

Haath main angaar rakhie
Aur kitane imtihan tak

Dhoondhane ke silsile dil
Aur kitane kaarwaan tak

Chal chalain ab to safar par
Is jahaan se us jahaan tak

Tumne Humko Aajmaya Na Sahi

Tumne humko aajmaya na sahi,
Humse kuch farmaya na sahi

Hum ne to socha tha ki tum,
Har mod par humara saath doge

Par Tumne saath nibhaya na sahi
Dil tood kar tum humara,

Yun chal diye tanha chod kar
Humne tukadon ko uthaya na sahi

Bas ek chirag ki roshani liye,
Chal rahe the raston par

Us chirag ne rasta dikaya na sahi
Tay kiya ta umar teri

Yadon ke sahare guzar denge
Par teri yadon ne bhi sath nibhaya na sahi

Zindagi se khafa ho kar,
Chal pade the khudkhushi karne

Humko mout ne bhi gale lagaya na sahi
Humse kuch farmaya na sahi

Tumne huko aazmaya na sahi


Woh Button Ne Dale Hain Was-Wase Ke Dilon Se

Woh Button Ne Dale Hain Was-Wase ke dilon se khof-e-khuda gia
Woh pari hain roz wiamatein k khial-e-roz jaza gia

Jo nafas tha kargoo bana,jo uthe to haath lahoo hue
Wo nashat-e-ah-sehar gayee woh waqar dast-e-dua gia

Jo talab pe ehd-e-wafa kia to abroo-e-wafa gayee
Sar-e-aam hue jab muddaee to sawab-e-sidaw-o-safa gia

Abhi badban ko teh rakho abhi muztarab hay rukh-e-hawa
Kisi raste main hay muntazir,woh sakoon jo aa k chala gia

Dukh Dard Key Maaron

Dukh dard kay maaron say mera zikar na karna,
Ghar jao toh yaaron say mera zikar na karna

Woh zabt na kar paayein gi aankhon kay samandar
Tum raah guzaaron say mera zikar na karna

Phoolon kay nasheman mein raha hoon mein sadaa say
Daikho kabhi khaaron say mera zikar na karna

Shayed yeh anderay hi mujhe raah dikhayein
Ab chaand sitaaron say mera zikar na karna

Woh meri kahani ko ghalat rung na day dein
Afsana nigaaron say mera zikar na karna

Shayae woh meray haal pay be-shakhta roh dein
Is baar bahaaron say mera zikar na karna

Lay jaayein gi gehraai mein tum ko bhi baha kar
Darya kay kinaron say mera zikar na karna

Woh shaks milay toh usay har baat batana,
Tum sirf ishaaron say mera zikar na karna

Aab Hai Sharab Hai

Aab hai sharab hai aur umeed uske aane ki
kya aur chahiye koi wajah jashn manane ki

Har ghadi wo mera imtihaan leta hai
Aaj baari hai meri unko aazamane ki

Na bahao ashko ko yu ki kam pad jayenge
Ye to shuruaat hai mere dard ke fasanae ki

Thori Si Ibadat

Thori si ibadat bohut sa sila deti hai
Ghulab ki tarha cheha khila deti hai
Allah ki yaad ko dil se jane na dena
Kabhi kabhi choti si dua arsh hila deiti hai

Mustafa S.A.W Se Keh Dena

Aeu sana mustafa s.a.w se keh dena
Gham ke maare salam kehte hain
Yaad karte hein unko sham-o-sehar,
dil hamare salam kehte hein Allah Allah hazoor ki baaten
Marhaba rang-o-noor ki baaten
Chaand jin pe nisar hota hay,
Aur teere salam kehte hein
Jab muhammaed ka naame aata hay
Rehmaton ka payam aata hay
Lab hamare darood parhte hein
Dil hamare salam kehtne hein
Allah Allah hazoor ke gesoo,
Bheeni bheeni mehakti wo khushbu
Jin se mamoor hay fiza har soo,
Wo nazare salam kehte hein
Zaer-r-e-Taiba tu madine mein,
Piyare aaqa se itna kih dena
Aapki gar-e-raah ko aaqa be sahare salam kehte hein
Aey saba mustafa se keh dena
Gham ke mare salam kehte hain
Yaad karte hein unko sham-o-sehar,
Dil hamare salam kehte hein

Saturday, September 01, 2012

Nigahon Main Jachta Nahi Koi

Ab meri nigahon mein jachta nahi koi
Jaisay meray sarkaar hain waisa nahi koi

Tumsa tou haseen ankh ne dekha nahi koi
Ye shaan-e-latafat hai ke sayaa nahi koi

Ye toor say kehti hai abhi tak shab-e-mairaj
Sarkaar ka jalwa hai tamaasha nahi koi

Hota hai jaha zikr Muhammad ( SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka
Uss bazm mein mehroom tamanna nahi koi

Aizaaz ye hasil hai tou haasil hai zamee ko
Aflaak pe tou gumbad-e-khizra nahi koi

Sarkar ki rehmat ne magar khoob nawaza
Ye sach hai ke khalid se nikhamma nahi koi

Raat Se Dar Lagta Hai

Baat din ki nahi,
Ab raat sedar lagta hai
Ghar hai kaccha mera,
Barsaat se dar lagta hai,
Tere tohfay ne to bas khoon ke aanso hi diye
Zindagi ab teri saugaat se dar lagta hai
Pyaar ko chod ker tum aur koi aaat karo,
Ab mujhay pyaar ki har baat se dar lagta hai,
Meri khaatir na wo badnaam kahin ho jaein
Iss liye uski mulaqaat se dar lagta hai

Meri Chahat Mein Kami

Meri chahat mein kami kuch na thi,
Jaane kyon wo begane se ho gaye,
Woh samjate hain khuch hoon main,
Lakin mujhe hase to kai jamane ho gaye

Main Kaha Maut ko thorde din tal jaa,,

Main kaha maut ko thorde din tal jaa
Maut ne kaha teri kisi ko jaroorat nahi tu chala aa,,

Maine kaha koi hai jo humare liye jeeta hai,,
Maut ne kaha isliye tu roj paani ki jagah aansu peeta hai

Kahin ek Akhri Had

Kahin ek akhri had hai jahan dil ko bikharna hai
Wahin se phir mujhe apna safar aaghaaz karna hai

Main suraj hoon anderon se mujhe kya farq parta hai
Jahan main aaj dooba hoon wahin se kal ubharna hai