Sunday, September 02, 2012

Tumne Humko Aajmaya Na Sahi

Tumne humko aajmaya na sahi,
Humse kuch farmaya na sahi

Hum ne to socha tha ki tum,
Har mod par humara saath doge

Par Tumne saath nibhaya na sahi
Dil tood kar tum humara,

Yun chal diye tanha chod kar
Humne tukadon ko uthaya na sahi

Bas ek chirag ki roshani liye,
Chal rahe the raston par

Us chirag ne rasta dikaya na sahi
Tay kiya ta umar teri

Yadon ke sahare guzar denge
Par teri yadon ne bhi sath nibhaya na sahi

Zindagi se khafa ho kar,
Chal pade the khudkhushi karne

Humko mout ne bhi gale lagaya na sahi
Humse kuch farmaya na sahi

Tumne huko aazmaya na sahi