Showing posts with label Dard Bhari Shayar. Show all posts
Showing posts with label Dard Bhari Shayar. Show all posts

Saturday, September 01, 2012

Meri Wafa Ne Banaya Hai Bewafa

Karoon to kis liye ankhir karoon malal us ka,
Usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,
Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,
Mere naseeb ki yeh bhi to kuch naseebi hai ,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,
Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,
Mere urooj ko us ke naseeb main lkh dey
Khuda-e-pak mujhey saanp de zawaal us ka

Wo Lamhe

Wo lame jo mujhe chuh kar nahi gujre
Wo lame jo mujhe chuh kar nahi gujre
Wo waqt jo meri yadoon mein nahi dhala,

Kyon bhul nahi pata mein
Kyon reh reh kar yaad ata hai mujhko

Wo raat jo meri ankhoon mein saji hain
Wo khushbu meri sanson mein basi hain

Kyon badalon si bhar ati hain
Kyon bundon si baras jati hain

Wo sawan jo mere dar par aya hi nahi
Wo barsat jisne kuch barsaya hi nahi

Kyun uska intezar ab bhi hain
Kyon dil bekrar ab bhi hain

Ashayein kyon mit ti nahin
Umeede kyon ghat ti nahi

Duan dhuan dil kaa jahan hain mein heraan hoon,
Fir bhi kyon arman jawan hain,mein heraan hoon

Kuch Bhi Nahi

Kuch Bhi Nahi
Mere pass dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi
Rakh sakun in zakhmo pe marham
Aisi dawa kuch bhi nahi

Mujh se na kar phoolon ki umeed
Mere daman mein kaanton ke siwa kuch bhi nahi

Na kar shikwa meri tanhai ka kabi
Mere pass gham-e-judai ke siwa kuch bhi nahi

Tu rahe hamesha ujaalon mein sanam
Meri zindagi mein andhera ke siwa kuch bhi nahi

Kyun main karun tujh se ab wafa ae zalim
Tere pass bewafai ke siwa kuch bhi nahi

Ab to na aaenge hum teri mehfil mein kabhi
Tere pass mere liyr ruswai ke siwa kuch bhi nahi

Tu ne na jana mere pyar ko kabhi
Tere seene mein pathar dil ke siwa kuch bhi nahi

Kya cheer ke bataon main apna dil tujh ko
Mere dil mein tere zakhmo ke siwa kuch bhi nahi

Ab aurna jala khud ko ae bipin us ke liye
Wo to bewafa hai uske pyaar mein tujhe sahil
Kuch bhi nahi

Mohabbataon Ka Dawa

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
Woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se mohabbaton ka dawa to nahi kerte
Haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
Mausam ke isi ass main guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
Kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain

Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
Phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
Bas khamoshi se ander hi bikhar jaya kerte hain

Woh aanso jo palkoon ki zeenat nahi bante
Woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain

Mujhey Daikh Kar Ek Nazar

Mujhey daikh kar jo ek nazar mairey saarey dard samajh sakey
Jo iss qadar hi chara- gar mujhey us nigaah ki talaash hai

Mujhe Rone Do

Paana bohat kuch chahta hoon magar
Bas aaj khud ko kahin khone do

Karne ko baatein hain bahut magar
Bas aaj mujhe chup hone do

Jhinjhod diya hai zindagi ne aaj itna
Ye toofan shant to hone do

Apne hi jiwan ki raahon mein kaante
Apne hi haathon fyr bone do

Fyr se bachpan jeena hai mujhko
Koi mere woh toote khilone do

Toote hue khwabon ko sametoon to kaise
Mujhe naye kuch swapan salone do

Pyar to khud se bahut kya hai
Aj khud se nafrat bhi hone do

Insaan thashayad,ye kya ban gaya
Kuch der iska ehsas to hone do

Sapne dekhne hain fyr se mujhe
Kuch der ke liye bas sone do

Jeena main bhi chahta hoon shayad
Aaj magar mujhe rone do

Mere Wajud Main Wafa

Mere wajud main wafa
Ki roshni utaar de

Phr itna pyar de k mujhy
Chahato'n main maar de

Bohat udaas tha so uth
k Tere paas aa gya

Kuch aisi baat ker jo
Dil ko chain-o-qarar de

Suna hy teri ek nazar
Sanwarti hy zindagi

Jo ho saky tou aaj meri
Zindagi sanwar de

Akela Chorh Dun Is Rah Me

Me usy kese akela
Chorh dun is rah me

Sath jo chalta raha
Mujburio'n k baad b

Ban k khushbu rach gya
Hy yun mere ehsas me

Dut ho paya nhi wo
Duri'n k baad b

Rafta rafta usko b ye
Dunya raas aa gai

Muskura k wo mila hy
Ranjisho's k baad b

Aaly kb kam huey hyn
Raabto'n k baad b

Aasly kb kam huey hyn
Raabt'n baad b

Ajnabi thay ajnabi hyn
Mohabbato'n baad bhi

Bigra Hi Rehta Hay

Kabhi tou milry pehli
Mulaqat ki terha

Bigra hi rehta hy kyun
Halaat ki terha

Wo ek dost jo lagy
Jaan sy pyara

Mujhy waqt tou deta hy
Mager kheraat ki terha

Ye Dil Bhi To Sirf Usi Ke Liye Tha

Kisi K liye zindagi thi
koi zindagi k liye tha

Kisi ki angheron me guzri

Koi sirf roshni k liye tha

Kisi mau kiye hukad sadir

Koi bandagi k liye tha

Kisi say mohabbat hai etni

Koi sirf dushmani k liye tha

Kisi say huay log shairaab

Koi sirf tishnagi k liye tha

Wo phir dunya me tha masroof

Koi sirf usi k liye tha

Hua kya agar torh dala

Ye dil bhi to sirf usi ke liye tha

Friday, August 31, 2012

Na Jo Tham Sakay Kisi Aur Say

Na jo tham sakay kisi aur say
Main bujhta eik chiragh hoon,

Mera room room dard dard
Meray dukh ka sira nahin,

Meri laghzishon main pali barhi,
Koi khoi kahani bhi hai ,

To jo sath hai to sukoon naheen,
To jo rooth gia to azab hai

Meri zindagi hai eik goo mago,
Mujhey roshni milti naheen

Bari Uljhano Main Houn

Tere Qareb aa kay bari uljhano main houn,
Main dushmanon main hoon k tere doston main houn,

Badla na mere baad bhi mauzi-e-gufrago
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main houn,

Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main houn,

Tu hans raha hai mujh pay mera hal daikh kar,
Or phr bhi main shareek tere qehqahon main hoon.

Katoon si Chubhti Hai Tanhai

Katoon si chubhti hai tanhai
Angaroon si sulagti hai tanhai

Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai tanhai

Jab bhi tere hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai tanhai

Raat k kisi hise main yeh bhi bewafa ho jti hai
Main nahi sota sone lagti hai tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai tanhai

Sulagti Raat

Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai

Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai

Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai

Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota

Yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota

Ager or jeete rehte tu yehi intazar hota,
Kahoon kiss se main k kia hai
Shab-e-ghum bori bala hai
Mujhe kia bora tha marna
Ager aek baat hota,

Yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota

Koi mere dil se poche,
Tere teen neem kash ko
Yeh khalish kahan se hoti
Ju jiger k paar hota,

Tere wade per jiye hum
Tu yeh jaan jhot jana,
K khoshi se mar na jate ager etbaar hota,

Yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota
Yeh kahan ki dosti hai.
K bane hain dost baqi
Koi chehra saaz hota
Tu yeh na ghum sath hota

Meri Raat Na Pooch

Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
Dil se nikli hou hanton me dabi baat na pooch

Wo kis adaa se meray saamnay se guzra bhi
Kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

Waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
Kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

Wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
Jus tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usney
Kis tarhan apno se khaa hai mainey maat na pooch

Ab tera pyaar nahi to sanaam kuch bhi nahi
Kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch

Dil Main Jalana Bhi

Aik dia dil main jalana bhi,Bujha bhi daina,
Yaad Karna bhi usey roo,Bhula bhi daina

Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki
Naam likhna maira,likh k mita bhi daina,

Phir na milnay ko bicharta hon tuj say lekin
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,

Khat bhi likhna usey ,mayoon bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara lakin
Jee main ayi to yeh diwar dira bhi daina

Soorat-e-naqsh-e-Qadam, Dasth main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina

Chahat Ki Mehfil

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
KHud bula kar phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali shama jalta raha parwana,
Kiya is tarha sath nibhaya hai kisi ne

Armaan mere raiza raiza ho gaye hain,
Youn kil k aangon say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,

Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sang dil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne :(

Bicharney Ka Ishara Karkey

Baaton baaton main bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain ye aziyat bhi gawara karkey :(

Moom Ki Tarha Pigalty Howe Dekha Us Ko

Moom ki tarha pigalty howe dekha usko,
Rut jo badli to badalty howe dekha usko,

Wo jo kanto ko b narmi se chuwa karta tha
Humney phoolo ko masalty howey dekha usko,

Jaany wo mangny jata hy duwaoon main kisko
Hath uthathy he sisikty howe dekha usko