Saturday, September 01, 2012

Kuch Bhi Nahi

Kuch Bhi Nahi
Mere pass dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi
Rakh sakun in zakhmo pe marham
Aisi dawa kuch bhi nahi

Mujh se na kar phoolon ki umeed
Mere daman mein kaanton ke siwa kuch bhi nahi

Na kar shikwa meri tanhai ka kabi
Mere pass gham-e-judai ke siwa kuch bhi nahi

Tu rahe hamesha ujaalon mein sanam
Meri zindagi mein andhera ke siwa kuch bhi nahi

Kyun main karun tujh se ab wafa ae zalim
Tere pass bewafai ke siwa kuch bhi nahi

Ab to na aaenge hum teri mehfil mein kabhi
Tere pass mere liyr ruswai ke siwa kuch bhi nahi

Tu ne na jana mere pyar ko kabhi
Tere seene mein pathar dil ke siwa kuch bhi nahi

Kya cheer ke bataon main apna dil tujh ko
Mere dil mein tere zakhmo ke siwa kuch bhi nahi

Ab aurna jala khud ko ae bipin us ke liye
Wo to bewafa hai uske pyaar mein tujhe sahil
Kuch bhi nahi