Saturday, September 01, 2012

Mujhe Rone Do

Paana bohat kuch chahta hoon magar
Bas aaj khud ko kahin khone do

Karne ko baatein hain bahut magar
Bas aaj mujhe chup hone do

Jhinjhod diya hai zindagi ne aaj itna
Ye toofan shant to hone do

Apne hi jiwan ki raahon mein kaante
Apne hi haathon fyr bone do

Fyr se bachpan jeena hai mujhko
Koi mere woh toote khilone do

Toote hue khwabon ko sametoon to kaise
Mujhe naye kuch swapan salone do

Pyar to khud se bahut kya hai
Aj khud se nafrat bhi hone do

Insaan thashayad,ye kya ban gaya
Kuch der iska ehsas to hone do

Sapne dekhne hain fyr se mujhe
Kuch der ke liye bas sone do

Jeena main bhi chahta hoon shayad
Aaj magar mujhe rone do