Monday, December 03, 2012

Itni Udaas Raat

Be khwab lamho ka 
Parastar kon ha 

Itni udaas raat main baidar kon ha 

Kis ko ye fikr ha 
K Qabeelay ko kya howa 
Sb es pa larr rahe hain k sardaar kon ha 

100 Kashtiyan jala k chaly sahilon se hum 
Ab tm ko kya batayein k us par kon ha 

Ye faisla to shayed waqt b na kar saky 
Such kon bolta ha adakaar kon ha 

Zamaney guzar gaye ye sochtey 
Mohsin 

Main kis ko kahon apna 
Mera ghum khawar kon hai