Monday, December 03, 2012

Rag-e-Jaan

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan, jaanaan 
Yaad kya tujh ko dilaayain tera paimaan, jaanaan 

Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aya hai 
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan jaanaan 

Zindagi teri aata the tu tere naam ki hai 
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan, jaanaan 

Dil yeh kehta hai k shayad ho fasurda tu bhi 
Dil ki kya baat karain dil tu nadaan, jaanaan 

Awwal-awwal ki muhabbat ke nashay yaad tu kar 
Be-peyey bhi tera chehra thaa gulistaan, jaanaan 

Aakhir-aankhir tu yeh aalam hai ke ab hosh nahi 
Rag-e-meena sulag utthi ke rag-e-jaan jaanaan 

Muddattoon se yehi aalam na tawaqoo na umeed 
Dil pukaare hi chala jaata hai janaan, jaanaan