Baat nikalegi to phir dur talak jaayegi
Log bevajah udaasi ka sabab poochein gay
Ye bhi puche. ge ki tum itani pareshaan kyun ho
Ungaliyaa'n uthein gi sukhay huye baalon ki taraf
Ik nazar dekhein gay guzaray huway saaloon ki taraf
Chooriyoon par bhi kai tanz kiyay jaaein gay
kanptay haathoon pay bhi fikray kasay jaaien gay
Log zaalim hein har ik baat kaa taanaa dein gay
Baatoon baatoon mein meraa zikr bhi lay aayein gay
Unki baatoon ka zaraa sa bhi asar mat lenaa
Warna chehray kay ta-asur se samajh jayein gay
Chahay kuch bhi ho savaalaat na karanaa unsay
Meray baaray mein koi baat na karna unsay
Baat nikalegi to phir dur talak jaayegi