Mohabbat karny walon ko koi rasta nahi deta
Zameen waqif nahi banti, falak saya nahi deta
Udasi jis k dil mein ho usi neend urrti hae,
Kisi ko apni aankhon ka koi sapna nahi deta
Khushi or dukh k mosam sab k apny apny hoty haen
Kisi apny hissey ka koi lamha nahi deta,
Uthana khud hi parrta hai thaka toota badan apna,
K Jab tak saans chalti hai koi kandha nahi deta.