Wednesday, November 21, 2012

Bohat Gumaan Tha Mausam Shanaas Honey Ka

Bohat gumaan tha mausam shanas honey ka 
Wohi bahana bana hai udaas honey ka 

Badan ko garh liya zakham ke gulabon se 
Tu shok pura kar khush libas honey ka 

Fiza mehkne lage roshni jhalakne lage 
To yeh nishan hai tere aas pass honey ka 

Gulon ke beech woh chehra khila to har titli 
Tamasha karne lagi, bad hawas honey ka 

Usy bhi shok tha bewajah dil dukhaney ka 
So hum ne khel rachaya udaas honey ka 

Naye safar pe rawana tou tum bhi ho jate 
Bas intizar tha mausam ke raas hone ka