Bichar kay bhi mujhe tum sa ya badgumaani hai
Ka meri yaad bhi kabhi tujhe to aani hai
Na pooch haal kisi bhi udaas chahray ka
Har aik shakhs ki apni kahani hai
Har aik shakhs ko apna bana k dekh lia
Milain gay ab na kisi sa ya dil ma thaani hai
Shajar udaas hain chirioon k chah-chahay ghum sum
Kah teray baad ya tanhaa si zindagaani hai
Na dosti hai sehar sa na dushmani shab s
Youn hi ya zindagi ab to husan nibhani hai