Mein jab hawa ke iraadon ko jaan leta hun
Laray bagair hee phir maan leta hun
Giro ki yaad anghootay se aanay lagti hai
Mein jub bhee haath mein teer-o-kamaan leta hun
Fizaa-e-sheher se aati howi hawaaon ko
Mein saans lenay se pehlay hee chaan leta hun
Baray sukoon se aksar zameen ke bister per
Ab aasmaan ki chaandar bhee taan leta hun
Ye aur baat ke poora koi nahee hota
Hamesha azam koi dil mein taahn leta hun
Ye waaqiya hai ke naaqaam rehta hun aksar
Mein jub bhee apna koi imtehaan leta hun