Wednesday, November 07, 2012

Tujhay Kiya Khaber Aiy Hum-Nashin

Tujhay kiya khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy

Teri bandagi k hasool main,main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe aashiyan mairay din andhairon main dhal dhal gaiaiy

Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy

Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka 
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy 

Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say 
Teray roothnay say o sanum meray dil main khanjar utar gaiaiy

Koe fiker laahuq na the humain kabhi apnay ranjh-o-malal ke 
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy

Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka 
Baray hoslay ke ye baat the inhe hoslon main hum mar gaiaiy

Dil-e-natawan ke ye kaifiat shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy