Muskan-e-maah-o-saal chor gaya
Dil ko us kaa khayaal chor gayaa
Taazah-dam jism-o-jaan the furaq men
Vasl us kaa nidhaal choor gayaa
Ahd-e-maazii jo tha ajab purhaal
Aik viraan haal chor gayaa
Zaala-baari ke marhalon ka safar
Qaafile,paayemaal chor gayaa
Dil ko ab ye bhi yaad ho ke na ho
Kaun thaa, kyaa malaal choor gayaa
Main bhi ab khud se hun javaab-talab
Vo mujhe be-savaal chor gayaa