Wednesday, October 24, 2012

Har Aik Darakhtt Hai Jharrna Meri Jaan...

Har aik darakhtt hai jharrna meri jaan, 
Issey kehte hain ujarrna meri jaan, 

Kesa lagta hai sawarney ke liye 
Baaz aukaat bigarrna meri jaan, 

Teri aamad ka pata deta hai 
Saans ka aese ukharna meri jaan 

Roshini apni jagha ghairti hai, 
Tum hawaaon se na larrna meri jaan, 

Hum nahin hon ge to peyshaani koi, 
Kissi pathar pe ragarna meri jaan,

Tere milne se khulaa hai mujh per
Kitna mushkil hai bicharna meri jaan

Asmaan khaak huye hain pal main, 
Kya zameenon pe akharna meri jaan