Hum gali se teri chup chaap guzar atey hain,
Apni dharrkan teri dehleez pe dhar atey hain
Aik to hai ke teri chaap to tarsey mera dil
Warna panchi bhi shaam ko ghar atey hain,
Jab se saahil pe kya to ne kinaara mujhse,
Joq-dr-joq meri simt bhanwar atey hain,
Aap kehte hain karri dhoop main jalna kesa,
Ja bjaa raah main kitne hi shajar atey hain,
Jab se socha hai mene tujhe shab-e-furqat mein
Kiss qadar chand sitarey mere ghar atey hain,
Zindagi jab bhi shab-e-hijar ke sanchey mein dhali,
Us ki jaanib se bhi peighaam-e-seher atey hain
Us ne milte huye aksar mein ghazal sochti hoon
Kya woh aese hi hain jese ke nazar atey hain