Hum nagri nagri jate aur ghar ghar geet gaatey hain
Hum galiyon galiyon aangan aangan pyar ke deep jalate hain,
Hum khushbu ke saudaagar hain aur sauda socha karte hain
Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin daamon bik jate hain
Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge
Hum dil ko chot chupatey hain aur aansu pe jatey hain
Jo log sharafat waley hain woh qabrey buzdil hote hain
Dusj,am se majom dartey woh magar kam zarfon se ghabratey hain
Hum sochey hain yeh kese kahen sach sab ke bass ki baat nahin
Jo sachi baatein karte hain, woh peghamber kehlaatey hain
Iqbaal to adnaa'a hadim hai arbaab ilm-o-danish ka,
Yeh aap ka huns-e-samaat hai jo is pe karam farmaatey hain