Wednesday, October 24, 2012

Gali Gali Ke Morr Pe Rehta Tha Aik Shakhss...

Gali gali ke morr pe rehta tha aik shakhss, 
Meri mohabbaton se shanaasa tha aik shakhss

Aankhon ko us ke baad sujhayi nahin diya, 
Aayiney bant'ta hua gura tha aik shakhss, 

Kal phir nazar bacha ke guzarna para humain, 
Kal phir hamari raah main betha tha aik shakhss, 

Ik ranjh-o-gham ki bheer muqabil khari thi aur, 
Hungaama-e-hayaat mein tanha tha aik shakhss,

Mujh ko bhi dushmanon ki zaroorat thi sheher mein 
Mujh ko bhi apni jaan se pyara tha aik shakhss, 

Tar-e-taluqaat pe naadim na tha magar, 
Rukhssat hua to toot ke rya tha aik shakhss, 

Ansar woh khawb tha ya haqeeqat khabar nahin,
Bass itna yaad hai kahin dekha tha aik shakhss...