Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts

Tuesday, January 01, 2013

Gham-e-Zeest Gawara Ker Len

Bin terey kaisey gham-e-zeest gawara ker lein 
Es sey behtar hai keh duniya se kinara kar lein 

Sath mumkin nahi chalna to chalo youn-hee sahee 
Door sey he terey chehray ka nazara ker lein 

Aaj tak ho na saka too tu hamra lekan 
Kyon na ham khud ko meri jan tumhara kaer lein 

Qurbatein apney muqadar mein nahi hein shayad 
Kyon na ham hijer ko qismat ka sitara kar lein 

Mumkin hai keh phir wo na rahey main na rahoon 
Un se keh do keh merey dard ka nazara ker lein 

Khud Ko Bhool Jata hOn

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon 
Bas ek dharkan dharakti hai main khud ko bhool jata hon 

Tumhain milne se pehle main bohat sajta sanwarta hon 
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon 

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hoon 
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hoon 

Main aksar yehi kehta hoon main tum say pyar karta hon 
Magar jub tum yeh kehti ho main diniya bhool jata hoon 

Hamari Yaad Aati Hai

Andheri raat me shama jalana bhool jate ho 
Hamari yaad ati hai bhulana bhool jate ho 

Tumhari ek yehi aadat pareshan hum ko karti hai 
Nazar me aa to jate ho samana bhool jate ho 

Tumhare hath me aksar gulabi phool dekhe hain 
Hamari raah me aksar bichana bhool jate ho 

Tumhein to laut jane ki fikar rehti hai 
Magar jab laut jate ho to aana bhool jate ho 

Suna hai tum hatheli par hamara naam likhte ho 
Magar jab hum se milte ho dekhana bhool jate ho 

Kabhi Sochna Kabhi Bhoolna

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar 
Tujhe de gi jeene ka hosla meri yaad rakh le sambhal kar 

Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna kabhi choolna
Jo na bujh sake wo diya jala jo ho sake wo kamal kar 

Gham-e-arzu meri justju mei simat ke aa gaya ru-baru 
Ye sukoot-e-marg hai kis liye mei jawab doon tu sawal kar 

Tu bichar raha hai to soch le tere hath hai meri zindagi 
Tujhe rokna meri mot hai meri be basi ka khayal kar 

Mere dard ka mere zabt ka meri be basi mere sabr ka 
Jo yaqeen na aye to dekh le tu hawa mein phool unchaal kr 

Log Jal Jayen Gy

Dekh lo magar khawab ka charcha na karo 
Log jal jayen gy suraj ki tamana na karo 

Waqt ka kiya hai kisi pal bhi badal sakta hai 
Ho saky tum se to tum mujh per bharosa na karo 

Ajnabi lagny lagy khud tumhain apna wajood 
Apne din raat ko itna bhi akela na karo 

Khawab bachon k khilono ki tarhan hoty hain 
Khawab dekha na karo khawab dikhaya na karo 

Mom k rishty hain garmi se pighal jayen gey 
Dhoop k sheher main mohsin ye tamasha na karo 

Eik Khokla Jazba

Muhabbat jhoot lagti hai Ek khokla jazba 
Jise izhaar ki har waqt khuwahish ho 

Kahin jaane ki sunne ki 
Jise har pal zarorat ho 

Mujhe tumse muhabbat hai 
na jaane roz kitne log is jumle ko 

Sunne ko bedaar hote hain 
Yeh aisa jhoot hai jiska 

Sheher sadiyon se tari hai 
Magar jaana 

Muhabbat jab kabhi izhaar ko tarse 
Koi tum se agar keh de 

Mujhe tumhse muhabbat hai 
Tu uski baat mat sunna 

Muhabbat rooh se phoote 
Muhabbat aks ban jai 

To tumko phir yaqeen aye 
Ke maine such kaha tumse 

Muhabbat tooh ban jai 
To phir iska yaqeen karna 

Wagarna ek jumla koi kitni baar duhrai 
Kahe jai nahi sunna 

Muhabbat jhoot hai jaana 
Agar izhaar ki isko zarorat hai 

Guzar jayenge

Sitare jo damakte hain 
Kisi chasm-e-hairan main 

Mulaqaten jo hoti hain 
Jama-e-abr-o-baran main 

Ye na abad waqton main 
dil-e-nashad main hogi 

muhabbat ab nahi hogi 
Ye kuch din bad main hogi 

Guzar jayenge jab ye din 
Ye un ki yad main hogi 

Pyar Wo Shey Hai

Koi keh de mohabbat ke khareedaron se 
Pyar wo shey hai jo milti nahi bazaron se 

Hum toh pehle hi mohabbat mein jale baithe hain 
Kyun darte ho tum dekhte huye angaroon main 

Aaj bhi unse mulakat na ho payi toh phir 
Jaan de denge sar phod ke diwaron se 

Koi puche bhi toh hum biyan nahi kar sakte 
Is tarah bichde hain hum jaan se payaron se 

kiya sila milta hai is duniya mein waafaon ka 
Kaash puche koi hum jaise gunahgaron se 

Anaa Ka Khayal

Ussy apni zid ki fikr thi 
Mujhy apni aanaa ka khayal tha 

Na mil sky hum phir kabi 
Wo hamri mohabbaton ka zawal tha 

Mere liye uska sath hi sab kuch tha 
Ussay k liye ye sab mazak tha 

Usy manzilo ki fikr thi 
Or yahan meri zindagi ka sawaal tha 

K Tum Bin

Mujhe rona nahi aata 
Mujhe khona nahi ata 

K tum bin jeena mushkil hai 
Jo dard tum dena chahte ho mujhe sehna nahi ata 

Tum to reh lo ge sath kisi aur k magar 
Main kiya krun k mujhe rasta badalna b nahi ata 

Tum to waaqif ho andaz-e-guftugu k 
Mujhe to baad krne ka salika b nahi ata 

Tum to jeet jate ho larr jhagar kr b 
Dekho mujhe to larna b nahi ata 

Tum to khush reh lo ge mere bin 
Dekho tumhare bin to mujhe jeena b nahi ata 

Hathoo Me Haath

Zinda hain jis ki aas pe wo b rula gaya 
Bandhan wafa k toor k sare chala gya 

Khud hi to ki thi usne mohabbat ki ibtida 
Hathoo me hath de k khud hi churraa gaya 

Kar di jis k liye hamne tabah zindagi 
Ulta wo bewafai ki tumhat laga gya 

Wo Hum Hain

Hatheli saamne rakhna 
Ke sab aansoo gire usme 
Jo ruk jaayega honthon par 
Samajh jaana ke wo hum hain 

Jo chal jaaye hawa thandi 
To ankhein band kar lena 
Jo jhonkaa tez ho sabse 
Samajh jaana ke wo hum hain 

Jo zyaada yaad aaun main 
To ro lena je bhar ke 
Agar hichki koi aaye 
Samajh jaan ke wo hum hain 

Agar tum bhoolna chaaho 
Mujhe shaayad bhula do tum 
Magar jab saans lena tum 
Samajh jaana ke wo hum hain 

Bhool Jaati Hai

Woh aksar bhool jaati hai 

Kabhi khawaboon ke jungle mei 
Kabhi yaadoon ki duldul main 

Kisi din tez barish main 
Kabhi dariya ke dhare per 

Kabhi sahra kinare par 
Wo mera naam likhti hai 

Kabhi likh kar mitaati hai 
Kabhi likhne se pehle hi 

Mita kar hasne lagti hai 
Kisi din shaam se pehle 

Mitana bhool jati hai 
To saari raat roti hai 

Kabhi Milay To

Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna 
Kabhi milay to yehi baat usay kehna 

WO sath the to zamana tha hamsafar mera 
Magar ab koi nahi meray sath usay kehna 

Usay kehna k bin us kay din nahi kat ta 
Sisik sisik k kati hai raat usay kehna 

Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass 
Nahi rahay wo halaat usay kehna 

Agar wo phir bhi na lotay to a meray dosto 
Mere dard-e-dil k halaat usay kehna 

Har jeet us k naam kar raha hon main 
Me manta hoon apni haar usay kehna 

Qasam Le Lo

Qasam lelo 
Tumhare bad 

Kisi ka khawab dekha ho 
Kisi ko hum ne chaha  
kisi ko hum ne socha ho 
Kisi ki aarzoo ki ho 

Kisi ki justujoo ki ho 
Kisi ki rah dekhi ho 
Kisis ka qurab manga ho 
Kisi ko saath rakha ho 
Kisi se aas rakhi ho 

Koi umeed bandhi ho 
Koi dil mai utaara ho 
Koi tum se piyaara ho 
Koi dil mai basaaya ho 
Koi apna bnaya ho 
Koi rotha ho to hum ne 


Usay ro ro k manya ho 
December ki haseen rut main 
Kisi ka hijar jheela ho 
Kisi ki yaad ka mousam 

Mere aangan mai khela ho 
Kisi se baat karne ko 
Kabhi ye hant tarsay ho 
Kisi ki bewafai par 

Kabhi ye nain barsay ho 
kabi raaton ko uth uth kar 
Tere dukh mai na roye ho 
Qasam le lo tumhare bad 
Hum ik pal bhi soye ho 

Qasam lello kabhi jugnu 
Kabhi tara 
Kabhi mahtab dekha ho 
Qasam lelo tumhare bad 
Kisi ka khawab dekha ho 

Qasam le lo......

Farz Karo

Farz karo hum ahle wafa hon farz karo deewanay hoon 
Farz karo yeh dono batein jhoote hoon afsanay hoon 

Farz karo tumhain khush kernay kay dhoondhay humnay bahany hoon 
Farz karo yeh nain tumharay such much kay maykhanay hoon 

Farz karo yeh jee ki bipta jee say jorh sunai ho 
Farz karo abhi or ho itni aaadhi hum nay chupai ho 

Farz karo yeh rog ho jhoota jhooti preet hamari ho 
Farz karo is preet kay rog main sans bhi hum per bhari ho 

Farz karo yeh jog bajog ka hum nay dhong rachaya ho 
Farz karo bus yahi haqeeqat baqi sub kuch maya ho 

Tera Juda Hona

Khawab posh aankhon me 
Aansoun ka bhr jana 

Hasraton k sahil per 
Titliyon ka mar jana 

Habs ki hawaon me 
KHushbuon ka dar jana 

Dil k garm sehra me 
Hashar hi barpa hona 

Dard la dawa hona 
Kya bohat zaruri tha 

Youn tera juda hona 
Kya bohat zaruri tha 

Wo Mere Nahi

Meri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil k makeen sahi 
WO nigah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareeb sahi 

Hamain jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kahin sahi 
Hamain aap khinchey daar per jo nahi koi to hum hi sahi 

Sar-e-toor ho sar-e-hashar ho hamain intizaar qabool sahi 
Wo kabhi miley wo kahin miley wo kabhi sahi wo kahin sahi 

NA ho un per jo mera bus na sahi keh ye ashqi hai hawas nahi 
Main unhi ka tha main unhi ka hoon wo mere nahi to na sahi 

Jo ho faisla sunaaiye usey hashar per na uthaaiye 
Jo karain ge aap sitam waha, wo abhi sahi wo yahin sahi 

Usey dekhne ki jo loo lagi to dekh hi lain ge hum kabhi 
Wo hazaar aankh se door ho wo hazaar parda nasheen sahi 

Koi To Hota

Koi to hota 
Mai jis k dil ki kitab banta 
Mai jis ki chahet ka khawab banta 
Mai hijr mosem ki lambi raaton mein 
Yaad ben ker azaab banta 
Koi to hota 

Jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota 
Dukhon ki chader lapeit ker hajoom-e-duniya se door hota 
Mai  rooth jata manata mujh ko 
K Chahe mera kasoor hota 
Koi to hota 

Mai jis k itna kareeb hota 
Na pass koi rakeeb hota 
Mai itna us ka habeeb hota 
Ye silsila bhi ajeeb hota 
Koi to hota 

Jo Guzar Gia

Usey yaad ker k na dil dukha , jo guzar gia wo guzar gia 
Kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia 

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay naya naam hai 
Wo chala gaya usay bhool jaa jo, guzar gia woh guzar gia 

Koi ayai ga koi jayai ga koi jayai ga koi ayai ga 
Suno raston ki sada, jo guzar gya wo guzara gia 

Teray pass tera habai hay jo nahin mila woh naseeb hay 
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gia wo guzar gia 

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas kar 
Nayai mausam ka pata bata jo guzar gia wo guzar gia 

Yahan aetbar-o-yaqeen hai yeh haqiqaton ki zameen hay 
zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia