Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar
Tujhe de gi jeene ka hosla meri yaad rakh le sambhal kar
Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna kabhi choolna
Jo na bujh sake wo diya jala jo ho sake wo kamal kar
Gham-e-arzu meri justju mei simat ke aa gaya ru-baru
Ye sukoot-e-marg hai kis liye mei jawab doon tu sawal kar
Tu bichar raha hai to soch le tere hath hai meri zindagi
Tujhe rokna meri mot hai meri be basi ka khayal kar
Mere dard ka mere zabt ka meri be basi mere sabr ka
Jo yaqeen na aye to dekh le tu hawa mein phool unchaal kr