Showing posts with label Four lines poetry. Show all posts
Showing posts with label Four lines poetry. Show all posts

Wednesday, October 03, 2012

Kya Acha Kya Bura Bhala Dekha

Kya acha kya bura bhala dekha
Ab bhi dekha tuhe apne ru ba ru dekha,

Socha bahut bhulkar sochun na tujhe, 
Jis raat ankh lagi fir tujhe har su dekha

Shaiyed Kisi Rastay Ki Hawa

Maqrooz-e-gham-e-deeda-e tar hai tera mohsin
Muddat say youn hi khaak basar hai tera mohsin

Shaiyed kisi rastay ki hawa teri khabar dey 
Iss waastay masroof-e-safar hai tera mohsin

Ruthi Si Zindagi Ko Manana To Aata Hai

Ruthi si zindagi ko manana to aata hai,
Logon ko hasana to aata hai,
Kya hua jo na bas sake kisi ke dil mein,
Logon ko apne dil mein basana to ata hai 

Tuesday, October 02, 2012

Har Cheez Yahan Ki Aani Jaani Dekhi

Duniya eik ajab saraye-faani dekhi 
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi 

Jo aakay na jaaye woh burahpa dekhaa
Jo ja kay na aaye.. wo jawaani dekhi 

Dard Jeet Jata Hai, Log Miltyy Julty Hain

Dard jeet jata hai...
Log milty julty hain 
Sath sath chalty hain 
Sath sath chalne main 
ranjishein bi hoti hain 
Ranjishon main bi lakin 
Chahatein bi hoti hain 
Chahaton ki bi har pal

Ik ajab kahani hai 
Hot hansty rehty hain 
Ankhein bheeg jati hain 
Bheegi si nigahon main 
Khuwab jalty bujty hain 
Dard ke is safar main kuch 
Aisy mor bi aty hain 
Sath choot jaty hain 
Kircheian uthaney main 
Waqt beet jata hai 
Dard jeet jata hai.

Un se Milne Ko Jo Sochon Ab Wo Zamana Nahi

Un se milne ko jo sochon ab wo zamana nahi
Ghar bhi kaise jaun ab to koi bahana nahi,

Mujhe yaad rakhna kahi tum bhola na dena
Mana ke barson se teri gali me anjana nahi 

Salon Bad Na Jane Kia Samaa Hoga

Salon bad na jane kia sama hoga,
Hm sb doston me se najane kon kha hoga,

Phr milna hua to milenge khuwabo me,
Jese sukhe gulab milte hain kitaabon me

Har Chand Sitare Me Tere Tasveer Nazar Ayi

Har chand sitare me tere tasveer nazar ayi 
Phir is tanha raat me teri yaad chali ayi

Door tujhse rehkar ye saans tham chuki thi 
Jo kanhin naam tera aaya to saans chali ayi 

Jo Baat Munasib Hai Woh Hasil Nahi Karte

Jo baat munasib hai woh hasil nahi karte
Jo apni giraah me hai wo kho bhi rahe hain 

Be ilm bhi humlog hain ghaflat bhi hai taari
Afsos ke andhe bhi hain aur so bhi rahe hain 

Main Ne Us Se Bas Itna Hi Puchha Tha Ki

Main ne us se bas itna hi pucha tha ki 
Ek pal mein.. kisi ki jaan kaise nikal jati hai,

Us ne chalte chalte apna haath mere
Haath se chhura liya

Main Eik Jazeera Hon, Pyaar Se bhara Howa

Main eik jazeera hon 
Pyaar se bhara howa

Tum yahan par anay se pehle
Apna dil saaf kar lo 

Saari Umar Tumko Pyar Mile

Saari umar tumko pyaar mile,
Jo dil mai hy woh hazaar baar milay

Bichar jate hyn milnay k bad bhi kuch log
Jo kbi na bichre aisa tumko pyar mile

Hasna Aur Hasaana To Fitrat Hai Meri

Hasna aur hasaana to fitrat hai meri,,
Har koi khush rahe ye koshish hai meri,

Chahe koi mujhe yaad kare ya na kare,,,
Sab ko yaad rakhna aadat hai meri,,

Eik Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai

Ek muddat se mere haal se begana hai,
Jane zalim ne kis baat ka bura mana hai 

Mein jo ziddi hoon tu wo bhi ana ka qaidi,
Mere kehne per kahan us ne chale aa na hai 

Bikhar Gaye Hain Mera Intezar Karte Huye

Mere firaaq ke lamhe shumaar karte huye
Bikhar gaye hain mere intezar karte huye,

Main ny kaha samandar hain merin ankhon mein,
Woh inn mein doob gaya aitebaar karte hue

Dil Youn Hi Kisi Pe Aata Nahi

Dil youn hi kesi pe aata nahi,
Har baat ki wajah me batata nahi,

Dil chahata hai jaane usko hi kyun,
Ye mein khud bhi ab tak jaanta nahi 

Meri Hatheli Bhi Tum Apne Pas Rakh Lo

Meri hatheli bhi tum apne pas rakh lo 
Jab dua mango to isko bhi utha dena,

Khushi mile to apne haath aage kar dena
Gham mile to meri hatheli me thama dena

Baat Umar Bhar Ki Thi, Do Pal Ki Nahin

Baat umar bhar ki thi , do pal ki nahi 
Baat sath ki thi, halaat ki nahin 

Jahan ke mailay mein hath chor diya tu ne,
Baat zubaan ki thi, kismat ki nahin 

Monday, June 11, 2012

Main aik jazeera hon; pyaar se bhara howa..

Main aik jazeera hon
Pyaar se bhara howa

Tum yahan par anay se pehle
Apna dil saaf kar lo...

Saari umar tumko pyar mile

Saari  umar tumko pyar mile,
Jo dil mai hy woh hazaar baar milay,

Bichar jate hyn milnay k bad bhi kuch log.
Jo kbi na bichre aisa tumko pyar mile..!