Thursday, November 12, 2015

Ghazal

Usne chaha to chahton ki hadon se barh kar 
Kehti thi hath na chorna tufano se dar kar 

Phr khud hi torgai wo taalluq e zindagi k ik moar par 
aaj mene pucha to kehti hai wo lamha tha jo guzar gya kinaron ko tor kr 

khud he ro pari wo ek zindagi k mor par
 or keh gai tum kisi ur ke ho jao mujhe chor kr

Me hasrat se dekhta raha usay apne hathon ko jor kar 
Ur wo chal pari meri wafaon ko chor kar 

Magr me kronga intezar un lamhaat ko phir se jor kr 
Kbi to hoga usay b ye ehsas k kisi ne chaha tha usay dunya ko chor kr