Mohabbat thaher jaati hai
Hum aksar yeh samajhtey hain
Jisay hum piyaar kartay hain
Usay hum bhool baithay hain
Magar aisa nahi hota
Mohabbat daimi such hai
Mohabbat thair jaati hai
Hamari baat kay andar
Mohabbat baith jaati hai
Hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
Kisi bhi dukh ki soorat main
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat main
Kabhi baarish ki soorat mein
Hamari ankh kay anadr
Kabi aab-e-rawan ban kar
Kabhi qatray ki soorat mein
Bazahir aisa lagta hai
Usay hum bhool baithay hain
Magar aisa nahin hota
Magar aisa nahi hota
Yeh hargiz kam nahin hoti
Mohabbat thair jaati hai