Tuesday, January 01, 2013

Meri Tamana Na Kya Kar

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar 
Khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar 

So baar kaha itni mohabbat nahi achi 
So baar kaha itna bharosa na kiya kar 

Haalaat hamain aik kabhi honay nahi dengay 
Ae dost meray meri tamanna na kiya kar 

Kiya janay ye kis mor pay lay jay zamana 
Tu mujh ko kisi pal bhi elehda na kiya kar 

Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak 
Tu mujh say pyar itna ziada na kiya kar