Tuesday, December 11, 2012

Woh Ajeeb Mousam

Wo ajeeb mousam tha 
Ham ne kore kaghaz par 
Apne khawab likhe the 
Ham ne khawab dekhe the 
An kahi kahani k 
Haruf sab duaa se the 
Dard ki humrani thi 
Dur afaq kanaron tak 
Raguzar zamano main 
Sans le rahe the ham 
Ajnabi jazeron mein 
Naqashpa hamare the 
Aankh mein theen tahrerein 
Bepanah jalwon ki 
Chandni k lahjye ne 
Ham se gufgu ki thi 
Zindagi ka har manzer 
Lamha lamha jaga tha 
Pehli baar hi ham ne 
Zindagi ko dekha tha 
Rooz wa shab k male main 
Khawab hi to sache the 
Khoof hay to itna hay 
Faasloon k junghal main 
Khawab kho bhi jate hain