Tuesday, December 11, 2012

Maawra lafzon Ki Maala

Azal se hai mohabbat maawra lafzo'n ki maala 
Magar ye bhi haqeeqat hai 
Mohabbat soch k aakash par badal ki soorat mein 
Sada parwaz karti hai 
Kabi baarish ki boondo'n mein simat kar dil ki dharti par 
Utarti hai bikharti hai 
Ada ley kar saba se ye gulabo'n se mehak ley kar 
Dhanak se rang ley kar aur sitaaro'n se chamak ley kar 
Haseen aanchal banati hai 
Isi aanchal se phir khuwabo'n k kachay rang sajati hai 
Mohabbat aazmati hai 
Kabhi ye shayir ban kar lafz ki hurmat barhati hai 
Kabhi ye saaz ban kar dheeray dheeray gungunati hai 
Sarapa aankh ban jati hai ye mehboob ko paar kar 
Anokha lams ban jati hai koo-e-yaar mein ja kar 
Najaney koan sa mantar ye parh kar holay holay se 
Kisi ki band palko mein bina dastak diye yakdum 
Utar ghar banati hai 
Mohabbat muskurati hai 
Ye khushbu hai hamesha phool ki saanso'n mein hoti hai 
Bana dey chaand teri shab ko jo ye aisi moti hai 
Kasak hai daa emi is mein buhat be naam lazzat hai 
Mohabbat ki yehi tareef hai k mohabbat hai 
Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya hoga 
Ye jo zakhm deti hai kabhi sehnay nahi deti 
Mohabbat rooth jaye to kabhi jeenay nahi deti